Biwe ke saath Husn-e-sulook Zindagi ke tamam ghoshon mein ek dusre ke jazbaat, zarooriyaat aur mizaj-o-mazaq ki ri’aayat aur baham afu-o-dar guzar aur chasm poshi se kaam lein, izdiwaji zindagi ki khush gawari ka asal raaz yehi hai aur shaohar-o-biwi donon se matloob hai-
Laikin aurat apni fitri nazakat, zakawat-e-his ki wajhe se jazbati hoti hai, is liye woh afu-o-dar guzar aur husne sulook ki ziyadah haq daar hai
Allah ta’ala irshaad farmate hain-
وَعَاشِرُوهُنَّ بِالْمَعْرُوفِ۔(النساء:١٩)
Biwiyon ke saath achha sulook karo.
Rasoolullah sallahu alaihi wasllam ne irshaad farmaya:
أَكْمَلُ المُؤْمِنِينَ إِيمَانًا أَحْسَنُهُمْ خُلُقًا، وَخَيْرُكُمْ خَيْرُكُمْ لِنِسَائِهِمْ۔(رواہ الترمذی عن ابی ھریرۃ :۱/۲۱۹ رقم:۱۱۶۲)
Kamil imaan wala shaks woh hai jo acche akhlaq-o-kirdaar ka hamil ho, tum mein behtareen shaks woh hai jo apne ghar walon ke liye behter ho-
Ghalatiyon ke saath husn-e-suluk kamal hai.
Aadmi bahar ke logon ke saath husn-e-suluk karta hai, isliye keh is ki naubat kam pesh aati hai aur us ke liye aasan bhi hota hai; laikin ghar walon ke saath subha-o-shaam zindagi guzarte huwe un ki ghalatiyon, nazakaton ko sarf-e-nazar aur bardasht karte huwe husn-e-suluk karna yeh kamal aur husn-e-akhlaaq hai.
Rasoolullah sallahu alaihi wasllam ne auraton ke saath husn-e-suluk aur husn-e-mu’asharat ki takeed karte huwe un ke fitri mizaj ko in alfaz mein irshad farmaya hai-
اسْتَوْصُوا بِالنِّسَاءِ، فَإِنَّ المَرْأَةَ خُلِقَتْ مِنْ ضِلَعٍ، وَإِنَّ أَعْوَجَ شَيْءٍ فِي الضِّلَعِ أَعْلاَهُ، فَإِنْ ذَهَبْتَ تُقِيمُهُ كَسَرْتَهُ، وَإِنْ تَرَكْتَهُ لَمْ يَزَلْ أَعْوَجَ، فَاسْتَوْصُوا بِالنِّسَاءِ۔(رواہ البخاری عن ابی ھریرۃ : باب الوصاۃ بالنساء ۷۷۹/۲ رقم :۵۱۸۶)
Auraton ke saath bhalai ki waseeyat qubool karo, auratein tedhi phasli se paida ki gayi hain aur sab se ziyadah tedhi phasli upar wali hai۔
ّAgar tum us ko theek karna chaho, to us ko tod do ge agar tum chod do to woh tedhi hi rahe gi, lihaza auraton ke saath bhalai ki nasehat qubool karo(qamusul fiqh : 4/113)
Aap sallahu alaihi wasllam ka husn-e-sulook
Aap sallahu alaihi wasllam apne ghar walon ke saath bahut mahabbat-o-pyaar karte the aur hazraat-e-azwaaje mutahharaat se dillagi ki batein karte aur ek saath aur ek bartan mein unke saath khana tana’ul far mate.
Hazrat-e-Ayesha (raziyallahu anha) farmati hain
Main napaaki ke zamane mein bhi aap sallahu alaihi wasllam ke saath khati peti thi, main pani peti, to aap sallahu alaihi wasllam bartan ke theek us hisse ki jaanib se pani pete jahan se main ne piya hai aur main koi haddi chosti, to app sallahu alaihi wasllam usi haddi ko choste (sunane nasai : 1/43)
Ek martaba Eid ka din tha, habshe naujawaan Eid ki khushi mein masjid (ke sehen) mein neze aur dhaal se khel rahe the, aap sallahu alaihi wasllam ne hazrat-e-Ayesha (raziyallahu anha) se farmaya: Ayesha yeh khel dekhna chahti ho? Main ne arz kiya, ji haan ya rasoolallah! –
Aap sallahu alaihi wasllam aage khade hogaye hazrat-e-Ayesha (raziyallahu anha) chup kar pheeche khadi hui aur apni thudi Rasoolullah sallahu alaihi wasllam ke kandhon par rakh kar khel dekne lagi –
Aap sallahu alaihi wasllam hazrat-e-Ayesha (raziyallahu anha) se baar baar daryaft farmate keh Ayesha abhi dil nahi bhara? Abhi dil nahi bhara?
Main kehti : Ya rasoolallah! Aur dekhna chaahti hoon, Aap sallahu alaihi wasllam usi tarha khade rahe yahan tak ke main khud bezaar hogai-
Hazrat-e-Ayesha (raziyallahu anha) farmati hain : main mazeed dekhne ki khahish isliye kar rahi thi taakeh andaza lagaun ke h aap ke dil mein meri kitni mahabbat hai? (bukhari : 2/788)
Ayesha kab mujh se khush reti ho aur kab ruthi rehti ho pehchan leta hoon-
Neez hazrat-e-Ayesha(raziyallahu anha) farmati hain:
Rasoolullah sallahu alaihi wasllam ne mujh se irshaad farmaya: Ayesha kab tum mujh se khush reti ho aur kab ruthi rehti ho main pehchan leta hoon-
Main ne arz kiya ya rasoolallah! Aap kaise pehchaan lete hain? Aap sallahu alaihi wasllam ne irshaad farmaya jab tum mujh se khush rehti ho, to kehti ho: Mohammed ke rab ki qasam, jab tum mujh se naraaz hoti ho to kehti ho, Ibraheem ke rab ki qasam-
Main ne arz kiya, baat sahi hai; laikin main sirf aap ka naam nahi leti warna to mera dil aap ki mahabbat-o-azmat se bhara rehta hai (bukhari : 2/787) Biwe ke saath Husn-e-sulook