Biwi ka susrali rishtedaaron ke saath bartau: Ladki ko chahiye keh woh susrali rishtedaaron ke saath khidmat, ikram aur husne sulook ka mu’amala kare,bataure khaas shaouhar ke walidain aur shaouhar ke bhai behnon ke saath accha bartau kare-
Shaouhar ke rishtedaaron ke saath husne sulook,shaouhar hi ke saath husne sulook hai shaouhar ke rishtedaron ke saath husne sulook rishtedaron ke dilon mein aurat ki izzat,qadr-o-manzilat aur shaouhar ke dil mein mahabbat ka sabab banta hai,bataure khaas khusr-o-khushdaaman(saas) sahiba ki khidmat,ta’zeem aur ikraam ka mu’amala kare keh unho ne hi usko apni bahu banaya hai-
Woh umar, tajurbaat aur martaba mein bade hone ki wajhe se qaabil-e-tazeem hote hain,shaouhar ke zimme walidain ki khidmat hai,laikin shaouhar bahar ki mashgoli ki wajhe se walidain ki khatir khah khidmat nahi kar sakta-
Shaouhar ke walidain ki khidmat
Agar biwi shaouhar ke walidain ki khidmat karti hai,to woh shaouhar ka ta’aawun karne wali hai jiski wajhe se shaouhar ke dil mein biwi ki azmat-o-mahabbat paida hoti hai aur gharelu mahol sazgar aur pur aman hoga,jiski wajhe se tamaam ghar ke afraad khush rahenge-
Neez shaouhar apne walidain ke saath husne sulook kare to biwi ko hargiz tang dil nahi hona chahiye,shaouhar apne walidain ya deegar rishte daron ke saath silarahmi,hamdardi, khair khahi-o-ikram kare,to biwi uske liye hargiz rukawat na bane-Biwi ka susrali rishtedaaron ke saath bartau۔
Nandon Ke saath accha bartau
Hazrate Jabir raziyallahu anhu farmate hain
Rasoolullah sallallhu alaihi wasllam ne ek martaba mujhse daryaft farmaya Jabir tumhari shaadi hogayi?
Maine arz kiya ji haan ya rasoolallah! Aap ﷺne farmaya. anbiyahi (Kuwanri) se shaadi ki ya( sayyiba) biyahi se ? maine arz kiya biyahi se aapﷺ ne farmaya: anbiyahi se shaadi kyun nahi ki? keh tum unse khelte woh tumse khelti-
Maine arz kiya mere walid Abdullah ghazway-e-uhad mein shaheed hogaye aur meri choti choti nau(9) behnen hain,
Maine chaha keh aisi aurat se shaadi karun jo unhe sambhal sake,unke sar mein kangha kare,unki deegar zarooriyaat ko poora kare aur unhe saleeqa-o-adab sikhaye aur unki tarbiyat kare-
Aapﷺ ne irshad farmaya bahut accha kiya Allah ta’ala tumhe barkat naseeb farmaye Bukhari 2/8
Shaarih-e-bukhari Hafiz ibne haja rahmatullahi alih farmate hain
Is hadees se maloom hua keh aurat apne shaouhar aur shaouhar ke muta’alliqeen walidain, bhai behen aur sauteli aulad ki khidmat kare-
Agarche unki khidmat us par shar’an farz nahi hai; laikin zamana-e-nubuwat mein auratein apne shaouhar aur uske rishtedaroon ki khidmat kiya kartin thein aur yeh nek-o-saaleh auraton ki aadat hai-
Yehi wajhe hai keh Rasoolullah sallallhu alaihi wasllam ne hazrat Jabir raziyallahu anhu se farmaya: tumne bahut accha kiya aur aap raziyallahu anhu ke liye dua di fathul baari-
Sauteli aulad ke saath husne sulook
Ummahatul mu’mineen hazrat Ayesha aur hazrat Umme Salma raziyallahuanhuma farmati hain
Jab hazrat Fatima raziyallahu anha ki shaadi huyi, to aap sallallhu alaihi wasllam ne hamein tayyari ka hukm diya,
Chunanche humne makan leepa, bistar lagaya, apne haaton se khajoor ki chaal dhun kar takye banaye-
Chuhaare aur munaqqe se khana tayyar karke dawat mein pesh kiya, ek lakdi makaan ke kinare nasb kiya taake uspar kapde aur paani ka mashkeeza waghairah latka sakein-
Fatima raziyallahu anha ki shaadi se shandaar shadi humne kisi ki nahi dekhi -Ibne Maaja:137-
Rasoolullah sallallhu alaihi wasllam ki chachi hazrat Asma binte umais raziyallahu anha farmati hain
Hazrat Fatima raziyallahu anha ki ruqsati ke waqt Rasoolullah sallallhu alaihi wasllam ghar mein maujood the-
Aap ﷺ ne ghar mein parchayi deekhi aur farmaya koun? Maine arz kiya, Asma, aap ﷺ ne poocha :asma bint-e-umais? Maine arz kiya,Ji ya rasoolallah !
Aap ki khidmat ke liye haazir huyi hoon,aap ﷺ ne farmaya :haan ,jab ladki ki ruqsati ho to kisi umar daraz aurat ko ghar mein rehna chahiye taake usko koi zaroorat pesh aaye,to woh uski zaroorat poori kardiya kare-
Phir aap ﷺne mujhe dua di aur aap sallallhu alaihi wasllam ke nazdeek mera yeh amal nihayat mehboob saabit hua – Majma uz zawaid 15216
Fatima R.z ka marzul wafat
Hazrat umme Salma raziyallahu anha farmati hain
Hazrat Fatima raziyallahu anha marzul wafat mein mubtala huwein,main khud aap ki ti’maar daari kar rahi thee-
Ek din tabiyat mein ifaaqa hua, hazrat Ali raziyallahu anhu kisi zaroorat se bahar chalegaye-
Fatima raziyallahu anha ne kaha : ammi mere liye naha ne ke liye paani nikalo,maine nahane ke liye paani ka intizaam kiya-
Phir Fatima raziyallahu anha ne bahut acche tariqe se ghusul kiya, jaise zindagi mein woh kiya karti theen-
Phir kaha,ammi!mere naye kapde dedo, maine dediye aur Fatima raziyallahu anha ne pehenliya phir kaha,ammi! mera bistar darmiyani ghar mein lagado, maine lagadiya-
Phir Fatima raziyallahu anha qibla rukh hokar late gaein aur apne haaton ko rukhsaar ke neeche rakha, phir kaha, ammi! ab meri rooh qabz hojayegi-
Maine ghusl kar liya hai aur kapde pehen liye hain, ab koi bhi shaks mere kapde na nikale-
Phir Fatima raziyallahu anha ki rooh qabz ho gaee, jab Ali raziyallahu anhu aaye,maine aap raziyallahu anhu ko ittila di- Majma uz zawaid 15220
Susrali rishtedaaron ke saath bartauki bahtreen misaal
Umma haatul mu’mineen ki koi nand-o-saas nahi thi laikin mazkoora waqi’yaat se saas aur nand aur deegar sasurali rishtedaaron ke saath husne sulook ki ahmiyat maloom hoti hai keh jab choton ke saath accha bartao karna akhlaqi fareeza hai,
Saas-o-susar jo umr aur martabe mein bade hote hain aur umooman za’eef aur bimaar bhi hote hain aur apne shaohar par unke huqooq ziyada hote hain, is wajhe se woh khidmat ke ziyada mustahiq hote hain.
Lihaza auraton ko chahiye keh saas aur susar ki khidmat ko apne maa baap ki khidmat samjhe,is se dua’ein bhi milengi,Allah bhi khush honge aur shaohar ki khushi bhi haasil hogi-Biwi ka susrali rishtedaaron ke saath bartauki bahtreen misaal
Shaohar ke muta’alliqeen ke saath husne sulook
Ummul mu’mineen hazrat Ayesha raziyallahu anha farmati hain
Ek martaba usama bin zaid raziyallahu anhu ki naak mein rutubat aagayi, Rasoolullah ﷺ ne saaf karne ka irada kiya-
Maine arz kiya,ya Rasoolallah! Chod dijiye ,usama ki naak main saaf karungi –
Chunanche hazrat Ayesha raziyallahu anha ne hazrat usama raziyallahu anhu ki naak ki safai ki-
Rasoolullah sallallhu alaihi wasllam ne irshad farmaya aye Ayesha usama se mahabbat karo kyunkeh main bhi unse mahabbat karta hoon – Tirmizi 222
Hazrat usama Hazrat zaid bin haarisa raziyallahu anhu ke ladke hain jo aap ﷺ ke pote ke darje mein the-
Aap ﷺ un se Hasanain raziyallahuanhuma ke barabar mahabbat karte the, hibbu Rasoolillah, Rasoolullah, ﷺ – ke chaheete- ke laqab se mashoor the-
Hazrat Ayesha raziyallahu anha ne goya lepaalak pote ki naak saaf karte hue ummat ki betiyon ko bataya keh shaohar ke muta’alliqeen ke chote bachchoon ki bhi safai-o-sutrai ki zaroorat pesh aaye,to khanda peeshani se zaroor karna chahiye-
Yeh shaohar hi ki khidmat hai aur shaohar ke dil mein qadar-o-manzilat paida karne ka sabab-o-zariya hai
Susrali rishtedaaron ki ta’zeem
Ummul mu’mineen hazrat Ayesha raziyallahu anha bohat sakhi-o-fayyaz thein-
Jo kuch maal aapki khidmat mein aata tha, fauran usko sadaqa-o-khairaat kar deti thein-
is surate haal ko dekh kar aapke bhanje hazrat Abdullah bin zubair raziyallahu anhu ne farmaya
يَنْبَغِي أَنْ يُؤْخَذَ عَلَى يَدَيْهَا۔
Kharch karne ke silsile mein khala par pabandi lagani chahiye hazrate Ayesha raziyallahu anha ko jab yeh khabar pahunchi, to
Aap sakht naraz ho gayein aur farmaya
أَيُؤْخَذُ عَلَى يَدَيَّ، عَلَيَّ نَذْرٌ إِنْ كَلَّمْتُهُ۔(رواہ البخاری عن عروۃ بن الزبیر ٣٥٠٥)
Kya mujh par kharch karne ke silsile mein pabandi lagai jaa’egi ? aur aapne hazrat Abullah bin zubair raziyallahu anhu se guftagu na karne ki qasam khali-
Hazrat Abullah bin zubair raziyallahu anhu ko khala ki narazgi aur qasam ki khabar mili, to unhon ne khala ko manane ki bahut koshih ki; laikin hazrat Ayesha raziyallahu anha ne bilkul maaf nahi kiya aur hazrat Abdullah bin zubair raziyallahu anhu se baat cheet karna band kar diya-
Susrali rishtedaaron ki ri’aayat
Bil aakhir hazrat Abullah bin zubair raziyallahu anhu ne chand quraishi ahbaab aur aap sallallhu alaihi wasllam ke nanhiyaali rishtedaaron se sifarish karai, tab jaa kar hazrat Ayesha raziyallahu anha ne hazrat Abullah bin zubair raziyallahu anhu se baat cheet shuru farmai-
وَكَانَتْ أَرَقَّ شَيْءٍ عَلَيْهِمْ، لِقَرَابَتِهِمْ مِنْ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ۔(رواہ البخاری ٣٥٠٣)
Hazrat Ayesha raziyallahu anha ﷺ ke nanhiyaali rishtedaaron par aap ﷺ ki rishtedaari ki wajah se bahut meharbaan thein aur hazrat Ayesha raziyallahu anha ne qasam todne ki wajah se 40 ghulaamon ko aazaad kiya۔Biwi ka susrali rishtedaaron ke saath bartau