Islah ke liye biwi ki tadeeb-o-tambeeh

Biwi ki tadeeb-o-tambeeh Shari’at ne biwi ki islaah ke liye shaohar ko tadeeb-o-tambeeh karne ka haq bhi diya hai
Allah ta’ala ka irshad hai

وَاللَّاتِي تَخَافُونَ نُشُوزَهُنَّ فَعِظُوهُنَّ وَاهْجُرُوهُنَّ فِي الْمَضَاجِعِ وَاضْرِبُوهُنَّ فَإِنْ أَطَعْنَكُمْ فَلَا تَبْغُوا عَلَيْهِنَّ سَبِيلًا۔النساء:٣٤)

Jin biwiyon se tumhe nafarmani ka andesha ho, unhe pehle samjhao, agar na samjhe, to unke saath bistar par sona chod do, phir bhi na samjhe, to unhe maro, agar tumhari baat manle, to unke khilaf koi bahana(judai pitai ke liye) talaash na karo.

Rasoolullah ﷺ ne irshad farmay

فَإِنْ فَعَلْنَ ذَلِكَ فَاضْرِبُوهُنَّ ضَرْبًا غَيْرَ مُبَرِّحٍ۔(رواہ مسلم ١٢١٨)

Agar biwiyan itaa’at na Karein to unhe aisi maar maro jo takleef deh na ho.
(Muslim:147)
Allaamah shaami farmate hain

لَيْسَ لَهُ أَنْ يَضْرِبَهَا فِي التَّأْدِيبِ ضَرْبًا فَاحِشًا، وَهُوَ الَّذِي يَكْسِرُ الْعَظْمَ أَوْ يَخْرِقُ الْجِلْدَ أَوْ يُسَوِّدُهُ

Shaohar ke liye az rah-e-tadeeb na munasib hadh tak maar peet jaa’iz nahi hai, yaani aisi maar keh haddi toot jaye ya chamdi phat jaye, ya jild siyah hojaye. Shame:6/131

Kin umoor mein tadeeb ki jaye

A Shaohar ke liye zeenat ikhtiyaar na kare
B Kisi shar’ee ya tab’ee uzr ke baghair taqaza-e-tab’ee ke liye aamadah na ho

C Shaohar ki ijaazat ke baghair bila uzr-e-shar’ee ghar se nikal jaye

D Namaz ada na karne par tadeeb ki baaz fuqha ne ijaazat di hai, baaz hazraat ne us ko Allah ka haq samajh kar shaohar ko tadeeb karne ki ijaazat nahi di hai

In umoor ke alaawah aurat ki taraf se hone wali ziyadatiyon jaise shaohar ke saath battameezi se pesh aana, ghair mahram ke samne jana, shaohar ka koi qeemati samaan kisi ko dena, bachonko bahut maar peet karna waghairah umoor mein tadeeb ki jasakti hai.

Talaaq ka haq

Shari’at ne shaohar ko ek khusoosi haq “Talaaq” ka bhi diya hai.( Jis ki tafseel aainda safhaat mein zikir ki jaye gi )

Meraas ka haq

Biwi ka intiqaal ho jaye aur biwi maal chod kar jaye, to do suratein hongi, biwi ki koi aulaad zinda ho, to shaohar ko biwi ke maal mein se ek chouthai hissa mile ga, agar biwi ki koi aulaad na ho, to shaohar ko biwi ke maal mein se aadha hissa mile ga, baqiya degar sahr’ee wariseen ko mile ga.