Izdiwaji uljhanon ka hal

Izdiwaji uljhanon ka hal: Khuda na khasta nikah ke baad miyan biwi ke darmiyan kuch ikhtilaf paida hojaye, to qu’ran-e-majeed ne is ka bhi hal bataya hai keh pehle samjhaya jaa’e, naseehat se kaam liya jaye, us ke bawajood biwi sedhi raah ikhtiyar na kare, to chand din bistar alag karliya jaa’e.

Isi ko qu’ran-e-majeed mein

وَاهْجُرُوهُنَّ فِي الْمَضَاجِعِ

se ta’beer kiya gaya hai, bistar alag karne ka matlab yeh nahi keh biwi ko ghar se bahar kiya jaye, ya us ko maike chod kar us ke walidain par bojh banadiya jaye, ya us ko kamre se bahar nikaal kar us ki tazleel-o-tahqeer ki jaye.

Balkeh bistar ek hi ho; laikin chand din be rukhi ka izhaar kiya jaye take us ko apni kotahi ka ehsaas ho, agar is se bhi kaam na chale aur aurat mein islaah ke aasar numayan na hon, to mamuli sar zanish ki bhi.

Allah ta’ala ka irshad hai

وَاللَّاتِي تَخَافُونَ نُشُوزَهُنَّ فَعِظُوهُنَّ وَاهْجُرُوهُنَّ فِي الْمَضَاجِعِ وَاضْرِبُوهُنَّ فَإِنْ أَطَعْنَكُمْ فَلَا تَبْغُوا عَلَيْهِنَّ سَبِيلًا إِنَّ اللَّهَ كَانَ عَلِيًّا كَبِيرًا (السناء:٣٤)

Woh auratein jin ki nafarmani ka tum ko dar ho, tum pehle un’hain naseehat karo aur samjhao (aur na mane) to un se bistar juda karlo (phir bi na mane) to mamuli mar peet karo.

Agar woh tumhari baat manle, to phir (maar peet, ruswa’ee aur be izzat karne ke liye) bahane talash mat karo, beshak Allah sab se bartar aur bada hain.

Ikhtilafaat door karne mein samaaj ki zimmedari

Agar in tamaam marahil se guzar ne ke bawajood taallu’qaat behtar na ho sake aur biwi nafarmani per musir ho.

Aise nazuk mod per qur’an-e-majeed ne shaohar ko jald bazi aur na aaqibat andeshi se kaam na lene ki talqeen karte hue miyan biwi ke darmiyan sulah safaa’i ki zimmedari ko samaaj (afrade khandaan) per rakha hai keh.

Ab samaj ke buzurg aur samajhdar log jo ikhtilafaat ko door karne ki salahiyat rakhte hon aur mukhlis hon, un ki zimmedari hai keh woh bech mein pad kar bahami ikhtilaf ko rafa karne aur sulah karane ki koshish karein.

Bad qismati ki baat hai keh hamare samaj mein koi ikhtilaf runuma hota hai aur koi nizaa paida hojaye, khah miyan biwi ke darmiyan ho.

Walidain aur aulad ke darmiyan ho, ya kisi bhi do musalman ya do khandanon ke darmiyan ho.

Musalmanon ka kaam dilon ko jodna aur faslon ko sametna

To na sirf aam musalman; balkeh ulama aur samaaj ke ba asar aur zimmedar log bhi kinara kashi ikhtiyar karlete hain aur sochte hain keh jis ka mu’amala hai woh samjhe.

Num is mu’amala mein kyun padein; laikin yeh soch durst aur sanjeda nahi hai, musalmanon ka kaam dilon ko jodna aur faslon ko sametna hai.

Aap ko maloom hai keh sarkar-e-do aalam sallallahu alaihi wasllam ko namaz ki jama’at ka itna ehtimam tha, keh marazul wafat mein bhi jab tak bilkul maazoor na ho gaye jama’at faut nahi hui.

Laikin banu auf ke do musalman khandanon mein sulah karane mein aap ko itni taakheer ho ga’ee keh namaz-e-asar mein aap der se tashreef laye jab keh hazrat-e-Bilal(raziyallahu anhu),hazrat-e-Abu bakr(raziyallahu anhu) ko imamat ke liye aage badha chuke the.

Is waqiye se musalmanon ke darmiyan sulah karane, un ke ikhtilafaat ko door karne aur un ki safon mein wahdat ko baqi rakhne ki ahmiyat ka andaza hota hai.

Bil khusoos miyan biwi ke ikhtilaf ko door karna aur un ke rishte ko ustwaar rakhna to aur bhi ziyadah aham hai.

Kyunkeh Rasoolullah sallallahu alaihi wasllam ne farmaya keh shaitaan sab se ziyadah is baat se khush hota hai keh kisi shaohar aur biwi ke darmiyan tafreeq paida karde.

ان یفرق بین المرءوزوجہ

Is liye ulama aur muslim samaaj ke zimmedar hazraat khah mard hon ya khawateen, unka shar’ee fareeza hai keh woh aise mawaqe par mu’amalaat ko suljhane aur ikhtilafaat ko door karne ki koshish karein aur use apni deeni zimmedari samjhein,aur Izdiwaji uljhanon ka hal talash karain.

Quran-e-majeed ka irshad hai

وَإِنْ خِفْتُمْ شِقَاقَ بَيْنِهِمَا فَابْعَثُوا حَكَمًا مِنْ أَهْلِهِ وَحَكَمًا مِنْ أَهْلِهَا إِنْ يُرِيدَا إِصْلَاحًا يُوَفِّقِ اللَّهُ بَيْنَهُمَا إِنَّ اللَّهَ كَانَ عَلِيمًا خَبِيرًا (النساء:35)

Aye musalmano! Agar tum ko andesha ho keh miyan biwi mein ikhtilaf aur zid hai aur aapasi uljhan ko khud suljha nahi sakte, to tum ko chahiye keh miyan biwi ke rishte daron mein se ek ek munsif ko muqarrar kar ke bhejo.

Agar donon munsif islaah ki koshih (sidqe dil se ) karein, to Allah ta’ala miyan biwi mein mu’wafaqat paida farma denge, beshak allah ta’ala jaanne wala aur khabar rakhne wala hai.

Hazrat Thanvi(rahmatullahialaih) mazkoorah aayat ki tafseer mein tehreer farmate hain:

Agar qara’in se tum upar walon ko un donon miyan biwi mein aisi kasha kash ka andesha ho keh us ko woh baham suljha na sakeinge.

To tum log ek admi jo tasfiyah ki liyaqat rakhta ho mard ke khandan se aur ek admi jo aise hi tasfiyah ki liyaqat rakta ho aurat ke khandan se tajveez kar ke us kasha kash ko rafa karne ke liye unke paas bhejo.

Woh jaakar tehqeeq-e-haal karein aur jo berahi par ho, ya donon ka kuch qusoor ho samjhadein.

Agar un donon aadmiyon ko sache dil se islah-e-mu’amala ki manzoori ho gi, to Allah ta’ala un miyan biwi mein basharte keh woh un donon ki raa’e par amal karein, ittifaaq farmayein ge.

Bila shubah allah ta’ala bade ilm wale aur khabar rakhne wale hain, jis tareeqe se un mein baaham musalahat hosakti hai us ko jante hain, jab hakamain ki niyaat theek dekhenge, to woh tareeqa un ke qalb mein ilqa farmadenge. Bayan ul Quran, surat un nissa: 1/115-Izdiwaji uljhanon ka hal