Khush gawar izdiwaji zindagi ke usool

Khush gawar izdiwaji zindagi ke usool

Nikah ka maqsad miyan biwi ka pur suoon izzat-o-iffat ki zindagi guzaarna hai pur sukoon zindagi guzaarne ke liye ek dusre ke huqooq ki adaa’igi aur ek dusre ke saath akhlaqi fara’iz ka muzahara bhi zaroori hai-

Baaz khavind aksa-o-beshtar na munsib rawiyyah aur na munasib harkatein ikhtiyaar karte hain jin ki wajha se auratein shaoharon se bezar, maayus aur pareshaan rehti hain aur miyan biwi donon ka sukoon barbaad hoja ta hai.

Mashaaiekh ne akhlaqi fara’iz ko bayan kiya hai jin mein se baaz aham akhlaqi fara’iz ya shaoharon ki baaz khatarnaak ghalatiyan jin ka khiyaal na karne se ghar ujadte hain, unhein zail mein zikr kya ja raha hai-Khush gawar izdiwaji zindagi ke usool-1

Biwi ko nazar andaaz karna

Biwi shaohar ki har ie’tibaar se khidmat karti hai aur shaohar ko khush karne ki koshish karti hai, biwi ki khahish hoti hai keh shaohar meri tareef kare, agar shaohar biwi ki tareef aur us ki haosla afzaa’i kare, to biwi khush hogi aur shaohar ko khush rakhe gi, isliye biwi ki achchaiyon par us ki haosla afzaai aur tareefi kalimaat kehne chahiaine-

Baaz mard hazraat degar rishtedaar, dost-o-ahbaab se khushi-o-mahabbat se baat karte hain, un ki baton ki taraf tawajoh dete hain; laikin ghar mein biwi ke saath pyar-o-mahabbat aur khushi ki baat nahi karte ya biwi ki baton ki taraf tawajjoh nahi dete, to aisi surat mein biwi ko sukoon kaise hasil hoga?

Talaaq ki dhamki

Baaz mard hazraat choti choti baat par biwi ko talaaq ki dhamki dete hain, jis aurat ke sar par har waqt talaaq ki talwar latak rahi ho, us ko kabhi bhi shaohar se itminaan nahi rehta, pata nahi yeh kis waqt mujhe talaaq de de aur alag karde, agar is ki naubat aayee to main kya karun? Is tarha ki uljhanon se do chaar hogi aur fasadaat, ladayee jhagdon ki naubat aati rehti hai-

Baaz khavind har waqt biwi se kehte hain tum khobsurat nahi ho, khidmat guzaar nahi ho waghairah, lihaza kisi dusri aurat se nikah karonga, shari’at ne mard ko ek se zayadh biwi rakhne ki ijazat di hai, jab biwi shaohar ke tamaam taqaze pure kar rahi hai, to dosri shadi ki dhamki dekar biwi ko pareshaan karne aur khud pareshaan hone ki kya zaroorat hai? Khush gawar izdiwaji zindagi ke usool -2

Be’izzat karna

Biwi shaohar ki khatir ghar baar chod kar aayi hai, ab jahan aayi hai, wahan us ko apni jaan, izzat aur imaan ka tahaffuz chahiye, agar shaohar biwi ko aisi jagah rakhe jahan woh adam-e- tahaffuz ka shikar ho aur us ki izzat-e-nafs mahfooz na ho, to ghar kabhi aabad nahi hoga-

Biwi se ghalati hojaye, to tanhai mein us ko nasehat karna chahiye, biwi us ko bura nahi samajhegi, laikin logon ke samne us ki tambeeh ki jaye, bura bhala kaha jaye, to us ki izzat-e-nafs majrooh aur us ki beizzati hoti hai-

Jis ki wajha se us ka dil zakhmi hota hai aur us ke dil mein shaohar ka waqaar aur azmat kam hojati hai keh mere shaohar logon ke samne bilkul mera lihaaz nahi karte, to main degar umoor mein un ka lihaaz kyun karon? Khush gawar izdiwaji zindagi ke usool-3

waqt na nikalna

Biwi shaohar ki tawajjoh chahti hai, biwi chahti hai keh shaohar biwi ke liye waqt farigh kare, us ki zarooriyaat aur halaat maloom kare aur uske jazbaat aur ehsasaat ka khiyal rakhe, mard hazraat din bhar mukhtalif kamon mein masroof hote hain-

Woh chahti hai keh jab shaohar ghar aye, to woh biwi ke saath waqt guzare, agar shaohar din bhar bahar ke kamon mein mashghool rahe aur ghar pahunch kar aaram ya kisi dusre kaam mein masroof hojaye, to ghar mein na aurat ko khushi hogi na shaohar kush reh sakta hai-

Biwi ka shar’ee haq hai keh us ke liye waqt farigh kiya jaye, baaz log doston ki mehfil sajate hain,fursat ke auqaat doston ke saath guzaarte hain, ghar aayen,to walidain aur bhai behnon ke saath guftagu mein lag jate hain-

Halankeh biwi shaohar ke fursat ke intizaar mein rehti hai aur woh us ke liye waqt farigh nahi karta, us ki khushi-o-gham aur deegar halaat daryaaft nahi karta, jis ki wajha se biwi tangdil hojati hai, woh bhi be-rukhi ka izhaar shuroo karde ti hai, is tarha miyan biwi ka sukoon barbaad hona shuroo ho jata hai-Khush gawar izdiwaji zindagi ke usool-4

Biwi ke liye pabandi aur apne liye aazadi

Ghar mein jab koi usool banaye, to us par shaohar aur biwi donon ko amal karna chahiye, shaohar apne liye libaas, khorak, rahat-o-aaram jaise pasand karta hai-

waise hi apni biwi ke liye bhi pasand kare aur faraham karne ki koshish kare, yeh to har musalman bhai ka haq hai, biwi to rafeeqa-e-hayaat hai, woh us ki ziyadah mustahiq hai –

Baaz mard auraton ko paband karte hain aur khud aazadi chahte hain, biwi ko nasehat keh tum nek bano, namazi bano aur khud namaz ke liye jate nahi, aurat ke liye ghair mahram rishtedaar se baat karne ki mumaana’at; laikin khud apni ghair mahram auraton se baat cheet karte hain, is be usooli se ghar mein ladaa’i jhagde honge, usool donon ke liye eksaan hone chahiye-Khush gawar izdiwaji zindagi ke usool-5

Biwi ke rishtedaron se be ie’tinayee

Har aurat ko apne walidain, bhai behen aur deegar rishtedaron se khandani aur jazbati ta’alluq hota hai, un se mutalliq koi kadvi kaseli baat sunna gawara nahi karti-

Jab shaohar biwi ke walidain rishtedaron se mutalliq nafrat ki batein karta hai, un ki nukta cheeni karta hai, unko bura bhala kehta hai, taana deta hai, to biwi apni majboori se khamosh ho jati hai-

Laikin us ki wajha se biwi ki dil shikni hoti hai aur shaohar ki nafrat dil mein paida hoti hai, phir yeh nafrat tana ‘a uar darkht ki shakal ikhtiyaar karleti hai-Khush gawar izdiwaji zindagi ke usool-