Ladki ko dekhne ki ijazat

Ladki ko dekhne ki ijazat jab kisi cheez ko hasil karna chahta hai, to uski dili khahish hoti hai keh pehle usko dekh le, kyunkeh dekh ne ke baad sochne aur samajne ka mauqa milta hai-

islam ne insan ki is fitrat ka sirf lihaaz hi nahi; balkeh hukm diya hai agar tum kisi ladki se nikah karna chahte ho to pehle us ladki ke akhlaq-o- kamalaat aur uski khandani sharafat se mutaliq tahqeeq karlo.

Hazrat Jabir(raziyallahuanhu) se marwi hai Aap ﷺ ne irshad farmaya: jab tum kisi aurat ko paigham-e-nikah do aur tum us cheez ko dekh sako jo tumhare liye usse nikah ka baa’is ban jaye to dekh lo.abu dawood :1/284.

Ladka khud apni aankhon se dekhe ya kisi mo’tamad aurat ke zarye maloom kar le, isse badi had tak itminaan-e-qalb hasil hota hai. Ladki ko dekhne ki ijazat

Ladki ka payaam dene wale ko dekna

Jis tarha mard ke liye makhtooba ko dekhne ki ijazat hai, isi tarha aurat ke liye bhi payaam dahinda mard ko dekhne ki gunjaa’ish hai.

Hazrat Umar(raziyallahuanhu) se marwi hai:
Aapas mein nikah karne walon ko ek dusre ko dekh lena chahiye-

Allaamah Shami(rahmatullahi alih) farmate hain:
”Aurat ko badarj-e-aula (paigham dene wale mard ) ko dekh lena chahiye-

is liye keh mard ke liye gunjaa’ish hai keh biwi pasand na aye, to usko talaaq de kar alahidgi hasil kar le; magar aurat ke liye iski bhi gunjaa’ish nahi-

Ta ham zaahir hai keh nikah se pehle mard ka aurat ko ya aurat ka mard ko dekhna mahez nikah ki niyyat se hona chahiye.Takmeel-e-hawas maqsood nahi hona chahiye.Ladki ko dekhne ki ijazat

Makhtooba ko dekhne ke usool-o-ahkaam

(1) Nikah ka iraada hojane ke baad aur payaam-e-nikah se pehle hi dekh le, payaam dene ke baad rishta chodne mein ladki ki eeza rasani hai.

(2) Agar ladki pasand na aaye, to sukoot ikhtiyaar kare aur dusron ke samne iska izhaar na kare; kyunkeh is mein aeb bhi hai aur eeza-e-muslim bhi.

(3) Nikah ka pukhta iraada na ho, mehez sarsari khiyaal ke tahat ladki ko dekhna munasib nahi(lihaza jis ladki se payaam ke qubool hone ki ummeed na ho, us ladki ko dekhna hargiz munasib nahi hai-

(4) Behtar hai keh makhtooba ko is tarha dekhe keh usko pata na chale.

Hazrat Jabir(raziyallahuanhu) farmate hain:
Main ne ek ladki ko nikah ka paighaam diya aur usko chup kar dekha-abu dawood:2/284,2082

Yeh tareeqa isliye behtar hai keh agar rishta manzoor na ho, to ladki ki dil shikni nahi hog-

agar ilmo-o-ittela ke saath dekhne ke baad rishta na manzoor ho jaye, to takleef ka baa’is hoga aur nafseeyati asar murattab ho sakta hai.

(5) Makhtooba ko sirf dekhna jaa’iz hai, choona jaa’iz nahi hai keh woh ajnabi aurat hai-

(6) Ek baar dekhna kaafi ho jaye, to dusri nazar daalna jaa’iz nahi hai.-

(7) Makhtooba ka sirf chehra aur hateliyaan dekh sakta hai-qaamoosul fiqh:3/354.

Baaz khandaanon mein makhtooba ko dikhaana aeb samjha jata hai, baaz log maghribi tahzeeb se muta’assir ho kar saari baraat ke liye makhtooba ko dikhaane ka intizaam karte hain-

Yeh donon baatein kitaab-o-sunnat ki talimaat ke sarasar khilaaf aur shari’at ke mizaaj-o-mazaaq ke mugha’ir, neez salafe saliheen ke ijmaa-o-ittifaaq ke bar khilaaf hai-Ladki ko dekhne ki ijazat