Nikah main sarparaston ki raza mandi se hona chahiye
Nikah ek aisa qabil-e-ehtiraam-o-muqaddas rishta hai jis ki us’at ka daa’irah sirf miyan biwi tak mahdood nahi rehta; balkeh uska ta’aluq miyaan biwi ke donon khandanon se muta’alliq hota hai-
Yahi wajeh hai keh agar koi baligha ladki khud apna nikah karle, to shari’at auliya ko faskh karane ki ijazat deti hai; kyunkeh har qism ka rishta afraad-e-khandaan ko pasand nahi hota, baaz rishton se khandan ko aar-o-sharam lahiq hoti hai-
Isliye ladke ka rishta ho ya ladki ka afraad-e-khandaan aur buzrugon ki raza mandi se karna chahiye, agar yeh log naraaz hon, to khandan ki taraf se miyan biwi ko kisi bhi qism ka ta’aun, hamdardi aur mahabbatein hasil nahi hongi, iska khamyazah khud miyan biwi hi ko bhugatna padega-
وَهُوَ الَّذِي خَلَقَ مِنَ الْمَاءِ بَشَرًا فَجَعَلَهُ نَسَبًا وَصِهْرًا وَكَانَ رَبُّكَ قَدِيرًا (الفرقان:54)
Allah ne insan ko pani se paida kiya aur uske liye nasabi aur susrali rishte banaye. Nikah main sarparaston ki raza mandi
Rishta-e-Nikah mein ladke ki raye ka bhi lihaaz rakhna chahiye
Rishta-e-nikah mein jis tarha ladke ko apne buzrugon ka ehtiraam aur unke tajrubaat se istifaadah aur unke intikhaab par raazi rehna chahiye, isitarha walidain aur khandaani buzrugon ko chahiye ke woh rishte ke silsileh mein ladke ki raye aur jazbaat ka lihaaz karein-
Chonke maujoodah daor mein school college aur universityon mein makhloot taaleem hoti hai aur mulazamat ki jaghon mein makhloot mu’asharah hota hai
Basa auqaat walidain ladke ke un jazbaat ka lihaaz kiye baghair usko majboor karke apni pasand aur uski na pasand ki jagah nikah kardete hain-
Ladka badil-e-na khastah nikah karleta hai; chonkeh uski marzi ka nikah nahi huwa hai, is wajhe se woh biwi se mahabbat nahi karta, uske huqooq ko ada nahi karta, uski taraf bilkul tawajjuh bhi nahi karta-
Kabhi walidain se ulajhta hai aur kabhi biwi se, biwi ko ta’anah deta hai, logon ke saamne uski bura’iyan aur walidain ki shikayat karte phirta hai aur uske saath zindagi guzaarne ko apne walidain ki khaahish aur unki pasand ka hawala dekar ehsaan jitlata hai-
Biwi ek mazloomah bankar saas aur susar ke raham- o-karam par zindagi guzarne par majboor hoti hai, woh khula ka mutalabah karegi ya shaohar usko apne nikah se juda kardega, yeh tamaam pareshaniyan shaohar banne wale aur ladki ke saath zindagi guzaarne wale ladke ki raye aur khushi ka lihaaz na karne se paida hoti hain- Nikah main sarparaston ki raza mandi
Nikah ladki ki raza mandi se hona chahiye
Ladkiyan mardon ke ahwaal-o-kawa’if se na waqif aur umoor-e-nikah se na tajrubah kaar hoti hain,isliye islam is baat ki targheeb deta hai keh nikah jaise aham mu’amala ko khud se tay na karein;balkeh unka koi vali aur sarparast usko anjaam de-
Albattah auliya-o-sarparastan ke liye zaroori hai keh jis ladke ko muntakhab karein uska naam aur uski shakhsiyat istarha bayan karein keh woh ladke ko acchi tarha pehchaan le, uske baad ladki ko ikhtiyar hai keh woh rishte ko qubool kare ya rad karde-
Agar ladki ki raza mandi maloom kiye baghair nikah kardiya gaya, to tafseelaat maloom hone ke baad nikah ko baqi rakhne aur khatam karne ka ladki ko ikhtiyaar hasil hog-
Agar ladki ki raza mandi-o-khushi ke baghair nikah kardiya jaye,to woh nikah paye’daar nahi rehsakta, neez ladki par ziyadati aur uske jaa’iz haq ki haq talfi hogi.
Hazrat Ayesha(raziyallahuanha)farmati hain:
Ek nau jawaan ladki mere paas aayi aur usne kaha: mere abba ne apne bhatije se mera nikah kardiya hai taake uski kam haisiyati ko door karde; halankeh mujhe yeh rishtah manzoor nahi tha-
Hazrat Ayesha(raziyallahuanha) ne farmaya: intizaar karo Aap tashreef layenge, jab Aap tashreef laye, to us ladki ne saara waqi’ah Rasool-ul-lah se bayan kiya-
Aap ne uske walid ko bula bheja aur ladki ko ikhtiyar diya: tum chaho, to nikah ko faskh karsakti ho,chaho to walid ke kiye huwe nikah ko baqi rakh sakhti-
Main ne chaha keh auraton ko bata doon keh hamara haq kya hai
Ladki ne arz kiya: main apne valid ke kiye huwe nikah ko baqi rakhungi; laikin main ne chaha keh auraton ko bata doon keh hamara haq kya hai? aur hamare muta’alliq hamare aaba ko kis qadar ikhtiyar hasil hai?(rishtah hamein manzoor nahi uske muta’alliq zabardasti nahi karsakte)(sunan-e-nasai: 2/64)
Hazrat Abu Salamah(raziyallahuanhu)farmate hain:
Ek aurat (jiske shaohar ki shahadat ho chuki thi)woh apne dewar se nikah karna chahti thi,us aurat ke walid ne ek acche aur bhale aadmi se nikah kar diyatha-
Nabi ki khidmat mein hazir hui aur arz kiya; ya rasool allah ! main apne bachon ke chacha se nikah karna chahti thi taake main apne bachon ke saath rahon, laikin mere walid ne doosri jagah mera nikah kardiya hai-
Aap ne uske walid ko bulaya aur daryaft farmaya, kya tum ne apni bacchi ki marzi ke baghair nikah kar diya hai? unhon ne kaha , ji ya Rasool allah ! Aap ne (nikah faskh farma diya) aur farmaya: jao jahan chaho wahan nikah karlo.(musannaf abdurrazzaq : 6/117
In donon hadeeson se maloom hua keh baligha ladki anbiyahi ho ya biyahi walidain uski marzi ke baghair uski na pasand ki jagah nikah nahi kar sakte.
Lehaza maujoodah zamane mein be pardagi, makhloot taleem aur akhlaqi bigaad ki bina par bohat sari ladkiyon ki apni pasand hoti hai , agar unki pasand ki jaga munasib-o-mauzoon ho, to usi jagah unka nikah kar dena behtar hai, taake nikah paye’daar reh sake-
Agar munasib na ho, to unko samjhaya jaye, nuqsaanat bataye jayen aur zehen saazi ki jaye; magar zabardasti nikah kardena munasib nahi hai, zabardasti nikah kardene ki surat mein nikah ke baad ladkiyon se bohut sare bad akhlaqi ke waqi’aat hamare mu’asahara mein pesh aate rehte hain.Nikah main sarparaston ki raza mandi-