Makaan biwi ka haqq hai

Makaan biwi ka haqq hai=Makaan biwi ka haqq hai : Nafaqah mein riha-ish ka intizaam bhi shamil hai,usko fuqaha “sukna” se tabeer karte hain, Allah ta’ala ne biwi ke liye riha-ish ke intizaam ko wajib qaraar diya hai(al talaq)

أَسْكِنُوهُنَّ مِنْ حَيْثُ سَكَنْتُمْ مِنْ وُجْدِكُمْ۔(الطلاق :٦)

Riha-ish gaah ke silsile mein bunyadi ahkaam darje zail hain.
A. rehne ke liye makaan faraham karna, khaah zaati ho ya kiraye ka ho ya aariyat ka.

B. makaan faraham karne mein shaohar aur biwi donon ki ri’aayat ki jayegi.

C. ghar ke saath gharelu zaroorat ki cheezein bhi faraham karni zaroori hain.

D. biwi ke liye aisa makaan faraham kare jis mein uski khahish ke baghair doosron ke saath rehne par usko majboor na kiya jaye.

Makaan kie sisile khulasa

Is silsile mein fuqaha ne bit-tafseel kalaam kiya hai jiska khulasa yeh hai.

A- Makaan ek hi kamre ka ho jis mein miyan biwi ke alawa koi doosra mard ya aurat ya bashu’oor bachche ka qiyam na ho, to woh ghar sukna ke layaq hai agar kisi mard ya aurat ya bashu’oor bachche ka qiyam ho, to yeh ghar sukna ke liye kafi nahi hai.

B- Makaan mein ka’ee kamre hon aur har ek ko mustaqil taala lagaya ja sakta ho, bawarchi khana aur baitul-khala bhi mustaqil ho aur aurat ko deegar rishte daaron se koi takleef na hoti ho, to aisa ghar bhi sukna ke liye kaafi hai.

C -Makaan mein ka’ee kamre hon aur har ek ko mustaqil taala lagaya ja sakta ho; laikin bawarchi khana mustaqil na ho, to aisa ghar haqqe sukna ke liye kaafi nahi hai.

D-Makaan mein ka’ee kamre hon aur har ek ko mustaqil taala lagaya ja sakta ho, bawarchi khana bhi mustaqil ho; laikin baitul-khala mushtarak ho aur shaohar ki maali isti-ta’at kamzoor ho, to aisa ghar haqqe sukna ke liye kafi hai.(qamusul fiqh : 5/208

Note

Hamare Hindustani mu’ashara mein basa auqaat shaohar biwi ko apne waalidain ke makaan hi mein rakhta hai, agar makaan mein muta’addid kamre hon aur har ek ko mustaqil taala lagaya ja sakta ho aur aurat ko kisi rishte daar se takleef na pahunchti ho, to us makaan mein biwi ko tehrana jaa’iz ho ga, ba’surate degar shaohar biwi ko is tarha ke makaan mein rehne ke liye shar’an majboor nahi kar sakta hai.

Lihaza aisi surate haal mein aurat ko chahiye keh shaohar ke walidain ke mushtarakah makaan mein sukunat ikhtiyaar kare, shaohar ke walidain ko apne walidain samajh kar unki khidmat ko sa’aadat samjhe aur unke tajrubaat se faida uthaae, yeh aurat ki sa’aadat mandi-o-khush naseebi hai aur – Insha Allah- duniya wa aakhirat mein ajr milega-

Laikin aurat shaohar ke walidain ki khidmat karna nahi chahti aur unke saath rehna pasand nahi karti, to shaohar usko majboor nahi kar sakta.

Agar aurat ba’khushi is tarha ke mushtarkah makaan mein rehne par raazi na ho, to shaohar ko chahiye keh woh uske mutalabe ko bura na samjhe balkeh uska shar’ee haq aur apni zimmehdaari samajhkar uske liye mustaqil makaan ka intizaam kare.

Ladke ke walidain ki zimmehdari

Apne ladke ka nikah karne ke baad ladke aur bahu ke liye is tarha ka munasib ghar(jiski tafseel peeche guzri) ka intizaam karna chahiye-

Agar bahu mushtarakah ghar mein khush dili se reh jaye, to us ki qadar karein, usko ghar ka ek fard aur beti samjhein, agar woh apne jaa’iz aur shar’ee haq ka mutaalaba kare aur apne shaohar ke saath alag ghar mein rehna chahti hai, to usko bura na samjhein aur ta’ana na dein, balkeh uske jaa’iz haq ko shaohar ki shar’ee zimmehdari samjhte huwe uska intizaam karein.

Shar’ee-o-akhlaaqi zimmehdariyon se naawaqif hone ki wajhe se miyan biwi aur donon ke khandanon mein ghalat fehmiyan aur jhagde shuroo hote hain aur pure khandaan mein talkhiyaan aur nafratein phail jaati hain.