Masnoon Nikah aur Valimah
Jab tarafain nikah ke liye aamadah hon to masjid mein kisi namaz ke baad majlise nikah mun’aqid ki jaye, is liye keh masjid nuzool-e-rahmat-o-barkat ki jagah hai, mala’ika,nek aur muttaqi logon ka ijtima hota hai-
Nikah ke bandhan mein bandhne ke waqt dulha-o-dulhan dua’on ke ziyadah mohtaaj hote hain, yeh sab baatein masjid mein hasil hoti hain.
Rasool Allah ne irshad farmaya.
أَعْلِنُوا هَذَا النِّكَاحَ، وَاجْعَلُوهُ فِي المَسَاجِدِ، وَاضْرِبُوا عَلَيْهِ بِالدُّفُوفِ-(رواہ الترمذی )
Nikah ka elaan karo aur masjidon mein nikah karo.
Nabi kareem ne hazrate Ayesha(raziyallahuanha) se mah-e-shawwal mein nikah farmaya,hazrat Ayesha(raziyallahuanha) ki rukhsati bhi mah-e-shawwal mein hui,
Hazrat Ayesha(raziyallahuanha) ki khahish-o-tamanna hoti thi keh apne khandaan ki ladkiyon ka nikah-o-rukhsati mah-e-shawwal mein ho. tirmizi:1/207۔Masnoon Nikah
Isliye Ulama-e-kiram ne farmaya keh shawwal ke mahine mein nikah karna mustahab hai.
Nikah ke baad hazireen zaojain ko dua’ien dein aur Mubarak baadi dei
Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) farmate hai
Jab kisi shaks ka nikah hota, to Aap us ko is tarha dua dete the-
بَارَكَ اللَّهُ لَكَ، وَبَارَكَ عَلَيْكَ، وَجَمَعَ بَيْنَكُمَا فِي الخَيْرِ-(رواہ الترمذی )
Allah ta’ala tumhare liye barkat ata farmaye, aur tum logon ko bhalai ke saath jama farmaye. tirmizi:1/207-Masnoon Nikah
Valimah
Nikah ke baad dawat dene aur khana khilane ko valimah kehte hain, mard ko Allah ta’ala ne biwi ki shakal mein ek qeemati ne’mat ata farmayi hai, is ne’mat par khushi-o-masarrat aur shukur ke izhaar ke liye valimah sunnat hai-
Aap ne har nikah ke maoqe par us waqt ke haalaat ke ie’tibaar se valimah farmaya hai, Aap ne adna darjeh ka valimah khajoor-o-paneer se farmaya hai aur sabse aala darjeh ka valimah bakri ka gosht aur roti se farmaya hai-
valimah apni us’at-o-haisiyat ke muwafiq karna mustahab hai, valimah ki dawat mein rishtedar, dost-o-ahbaab, pados aur aehl-e-mohalla ko dawat di jaye.
Hazrat abdur rahman bin Auf (raziyallahuanhu) maldar sahabi the isliye Aap ne unse farmaya
أَوْلِمْ وَلَوْ بِشَاةٍ-(رواہ البخاری:٢٠٤٨)
Valimah karo agar che ek hi bakri se ho.۔۔Masnoon Nikah aur Valimah