Muharramaath ka bayan
Muharramaath(wo mard-o-khawateen jinse nikah haram hai)
Jin asbaab ki wajhe se rishta-e-nikah haram hai uski do(2) khismen hain
a. Hurmat-e-muabbadah yani daa’emi hurmat, zindagi mein kabhi bhi un mard-o-khawateen se nikah ho hi nahi sakta.
b. Hurmat-e-mu’aqqatah yani kisi aariz ki bina par nikah haram hai, agar woh aariz za’ill hojaye, to nikah ho sakta hai.
Jin rishte daron se hamesha ke liye nikah haram hai unki teen(3) khisme hain-
a. Nasabi rishte daar b. Susrali riste daar c. Raza’ee(Doodh ke) rishte daar-
Mundarija-e-zail nasabi rishte daroon se nikah haram hai
a. Usool yani Maa, Nani, Dadi, Baap, Dada, Nana aur walidain ka abaa’ee aur madari silsila (Uper tak)-
B. Furoo yani apni aulad Betiyan, Nawasiyan, Bete, Pote aur unka auladi silsila ( Poti,pote Nawasi, nawase ki aulaad niche tak)
C. Walidain ke Furoo : Bhai, Behen aur unka auladi silsila. (Bhatije,bhatijiyan Bhanje,bhanjiyan niche tak)-
D. Dada,dadi, Nana aur nani ke sirf furoo yani chacha, phupi, Mamu, qhala haram hain. (inke auladi silsile se nikah durust hai)
Mundarija-e-zail raza’ee rishte daroon se nikah haram hai.
jo rishte nsasab ki wajhe se haram , woh rishte raza’ath ki wajhe se bhi haram
Rasulullah ne farmaya, jo rishte nsasab ki wajhe se haram hain woh rishte raza’ath ki wajhe se bhi haram hojate hain,
lihaza raza’ee walidain, raza’ee bhai behen, raza’ee mamu aur qhala, raza’ee phupi, raza’ee chacha waghaira se nikha haram hai, Raza’ee qhala zad, bhai behen, raza’ee mamu zad, bhai behen, raza’ee chaha zad, aur phupi zad bhai behen waghairah se nikah ja’iz hai.
Mundarija-e-zail susrali rishte daroon se nikah haram hai
A. Biwi ke furoo yani biwi ki betiyan aur potiyan,nawasiyan jo dusre shohar se hoon basharte ke biwi se sohbat kar chuka ho, aurat ke liye sohar ki aulad aur poton aur nawason se nikah nahi ho sakta.
B. Biwi ki maa, nani, dadi aur unka maadari silsila agar che shohar ne biwi se sohbat na ki ho sirf nikah kiya ho, aurat ke liye shohar ke baap, dada aur unka pidiri silsila haram hai.
C. Apne usool-o-furoo ki biwiyan yani baap,dada aur nana ki biwiyan, bete,pote aur nawase ki biwiyan
Aarzi hurmat ke asbaab
Jin mard-o-khawateen se aarzi tor par nikah haram hai unki tafseelat darje zail hain
a. Do aisi auratoon ko bayak waqt nikah me jama karna haram hai jin me se ek ko mard samjha jaye to un dono ka aapas mein nikah nahi ho sakta ho jaise do behne un me se ek ko bhai samjha jaye to unke darmiyan bhai behan ka rishta hoga, unka aapas me nikah nahi ho saktha, neez Khala,bhanji,phupi,bhatiji wagairah.
B. Jo aurat kisi mard ke nikah me ho us aurat se nikah kisi dusre mard se nahi ho sakta jab tak ke us ke shohar ki taraf se talaq,khula ya qhazi ke zariye faskh-e-nikah ya shohar ki wafat na ho jaye, Shohar se judai ki jo bhi surat pesh aye to iddat ka guzarna bhi zaroori hai, darmyani iddat me nikah durust nahi hai
C. Ek shakhs ke nikah mein char biwiyan fil haal maujood hon ya un me se koi bhi iddat guzar rahi ho to us shakhs ke liye mazeed nikah durust nahi hai
Be-iman mard-o-qhawateen se nikah
Kisi musalman aurat ka nikah kisi be-iman mard se nahi ho sakta aur nahi kisi musalman mard ka nikah be-iman aurat se ho sakta hai; albatta musalman mard ka nikah mazhabi yahoodi ya esaa’ee aurat se ho sakta hai (yani bara’e naam yahoodi ya essa’ee na ho); laiken deen aur mu’aasharat ke lihaz se behtar-o-pasindeedah nahi hai-Muharramaath ka bayan