Murawwajah Jahez ki Kharabiyan

Murawwajah Jahez ki Kharabiyan
Maujudah zamane mein jis tareqeh se jahez ka riwaaj chala hai, woh shar’an na jaa’iz aur uski jitni bhi mazammat ki jaye kam hai keh is mu’asahrati bigaad ne ghareeb walidain ke liye bacchion ka nikah wabal-e-jaan banadiya hai.

Ladke walon ki taraf se be-sharmi ke saath naqad raqam, sawariyan aur qeemati ashya ki maang, shareef samjhe jane walon ka isharon mein,

ya doosron ke tawassut se mazkurah chezon ka mutalabah karna aur dene par majboor karna, fuqaha ne isko rishwat qaraar dekar haram kaha hai.

Jahez ziyadah miqdaar mein na dene par susraal mein ladki ko hiqarat ki nazar se dekhne aur tana dene ke khauf se apni wus’at aur taaqat se ziyadah dene ki koshish mein soodi qarzon mein mubtala hona; halankeh yeh bhi haram hai.

Jahez na dene ki bina par tana zani, maar peet basa auqaat qatal ki naubat tak mu’amala ka pahunchna.

Silah rahmi ke bajaye riya-o-naamwari shohrat-o-tafaakhur aur rasm ki pabandi ka maqsood hojana.

Jahez muyassar na hone ki wajhe se ghareeb ladkiyon ko lambi umar tak bila nikah ke bithaae rakhna jo ke ladkiyon par sarasar zulm hai.

Ghareeb walidain ka apne ladkiyon ke liye saman-e-jahez muyassar na hone ki wajeh se zehni aziyyaton mein mubtala hona aur dar dar ki thokarein kha kar saman-e-jahez jama karne par majboor hona (aap ke masail aur unka hal: 6/247).

Lihaza in mafasid par jo jahez mushtamil hoga woh na jaa’iz hai.

Fuzool Kharchi

Jin chizon mein qaum ka be panaah sarmaya sarf ho raha hai, unmein ek khaas cheez shadi hai, mangni se lekar valimah tak rusoomaat, aapas mein taha’ef ka len den, umdah function hall aur unki taz’een par jis qadar khateer raqam kharch ki jarahi hai, woh kisi aqalmand insan se makhfi nahi hai,

Agar in ruqoomaat ko is beja israaf se bacha kar deeni umoor,mu’ashareh ki falaah -o-behbood aur apne khandaan ke kamzoor afraad ko khud kafeel banane mein sarf kijaye to kitna hi accha hota!

Ghareeb tabqa; balkeh maldar tabqa bhi in besood aur najaa’iz khahishaat ko pura karne ke liye soodi qarze mein mubtala ho jata hai;halankeh islam nikah ko sadgi se anjaam dene aur is mein hattal-imkaan kam se kam maal kharch karne ki targheeb deta hai.

Aap ne irshad farmaya:
ان اعظم النکاح برکة ایسرہ مؤونة،شعب الایمان

Sabse ziyadah babarkat nikah woh hai jis main sab se kam kharch kiya jaye

Nikah mein do kharch hain
A.mahar ka kharch
B.valimah ka kharch

Mahar jo dulha dulhan ko nikah ke iwaz pesh karta hai, valimah baqadar-e-istita’at, woh bhi dulha ke zimme hai,

Ladki aur ladki ki zimmedaron per kisi bhi qism ka maali kharch nahi hai; laikin hamare mu’asharah mein ladki ka nikah maali akhrajaat ki bojh-se-sabab-e-zahmat ban chuka hai; halanke ladki sabab-e-rahmat hai.

Murawwajah Jahez ki Kharabiyan: Mufti Abdullateef qasmi
Jamia Ghaisul Huda Bengaluru.105