Nek biwi ki chaar sifaat:izdiwaji zindagi ko khush gawaar aur pur sukoon banane ke liye biwi ka kirdar bhi aham hota hai, is liye biwi ke liye in sifaat ko apnana nihayat zaroori hai jinhe rasoolullah ne batare namoonah bayan farmaya hai.
Chunanche aap sallallahu alaihi wasllam ne irshaad farmaya
أَلَا أُخْبِرُكَ بِخَيْرِ مَا يَكْنِزُ الْمَرْءُ؟ الْمَرْأَةُ الصَّالِحَةُ، إِذَا نَظَرَ إِلَيْهَا سَرَّتْهُ، وَإِذَا أَمَرَهَا أَطَاعَتْهُ، وَإِذَا غَابَ عَنْهَا حَفِظَتْهُ۔(ابوداؤد:١٦٦٤)
Duniya ka behtareen khazana nek biwi hai, jab sh aohar us ko dekhe, to woh us ko khush karde, jab us ko koi hukm de, to us ki ita-at kare aur jab woh ghar se bahar ho, to us ki hifazat kare
Pehli sifat husne serat
Rasoolullh ﷺ ne irshaad farmaya
Biwi aisi ho keh us ko dekhne se dil khush hojaye-
Khobsurat biwi ko dekhne se aankhein khush hoti hain, kob serat biwi ko dekh ne se dil khush hota hai, kitne log aise hote hain jin ki biwiyan chand ka tukda hoti hai; laikin ziddi aur jhagdalu hoti hain-
Shaohar unki surat dekhna pasand nahi karta, lihaza apne kirdar, akhlaq, kidmat-o-wafadari, husn-e-suluk ke zariye shaohar ke dil ko jeetne ki fikr kare aur apne akhlaq-o-kirdaar se shaohar ke dil per hukumat kare, khud ko bachon ko aur ghar ko saaf suthra aur ghar ki cheezon ko saleqe se rakhe-
Ghar mein shaohar aaye, to muskurahat se istiqbal kare, rawana kare, to du’aon se alvida kare,mouqe ki munasabat aur shaohar ki tabiyat ka khiyal rakhte hoye apni zarooriyaat aur mushkilaat sunaae, past aawaz se baat cheet ki aadat banaye-
Shaohar ke rishtedar-o-muta’alliqeen ke saath ikraam ka mu’amala kare, koi kaam aisa na kare jis se shaohar ki nigah mein gir jaye, ya be waqa’at aur bewafa saabit hojaye
Dusri sifat ita-at
Biwi shaohar ki ita-at karne wali ho-
Allah ta’ala ne mard ko qawwam banaya hai, duniya mein chote chote umoor ko anjaam dene ke liye zimmedar banaye jate hain,shari’at mein ghar ka nizam sambhaal ne ke liye shaohar ko zimmedar banaya hai-
Aurat ko ameer banaya jata, to bahar ki zimmedari ko sambhalna mushkil hota,neez aurat ke mizaj mein narmi aur jaldbazi hoti hai, jski wajha se us ke faisle door andeshi per mabni nahi hote hain-
Lihaza jab Allah ne ghar ka ameer mard ko bana diya hai, to aurat ko chahiye kah us ki ita’at kare, uske faislon ko qabool kare
Umoor-e-khanadari mein barkat
Tamaam shar’ee, jaa’iz-o-mubaah umoor aur shaohar ke huqooq ke silsile mein shaohar ki ita’at kare; albattah khilaf-e-shara umoor mein kisi ki ita’at jaa’iz nahi hai-
Biwi apne shaohar ki baat maanne wali ho, shaohar ki baat maanne ka jazbah ho aur yeh samjhe keh shaohar ki baat maanne hi mein meri sa’aadat aur mere liye barkat hai, jo aurat khavind ki baat maanleti hai, khavind us ki badi badi ghalatiyan maaf kar diya karta hai
Allah walon ne farmaya
Biwi agar koi baat zabardasti manwa bhi le, to us mein barkat nahi hoti hai, lihaza aurat ko chahiye agarche woh apni zahanat, aqal mandi, baseerat waghairah ke ie’tibar se shaohar se faa’iq ho; laikin shaohar ke samne apni baat pesh kare aur shaohar ko mutma’in kare aur khush kare taakeh umoor-e-khanadari mein barkat ho, zindagi mein sukoon-o-itminaan ho
Teesri sifat hifazat
Jab shaohar ghar se bahar ho, to apne izzat-o-naamoos ki hifazat kare, mard aurat ki har ghalati maaf karsakta hai; laikin kirdar ki ghalati ko nazaradaaz nahi karsakta
Apne bachon aur ghar baar ki hifazat kare, bachon ki behtareen tarbiyat kare, maal, akhlaq aur kirdar wahairah se muta’alliq koi aisi harkat na kare jis se khavind ke dil main shak ya biwi per beie’timadi paida ho
Shaohar ke dil main agar jhoot bolne, rupeeya ya raaz chupane, ghar ki baton ko dusron ko sunane waghairah ka shak paida hogaya, to saohar ke dil se mahabbat rukhsat hojaye gi
Bila zaroorat-e-shadeedah ghair maharim se hargiz baat na kare, agar zaroorat pesh hi aajaye, to saqt lehje mein baat kare
فَلَا تَخْضَعْنَ بِالْقَوْلِ۔(الاحزاب: ٣٢)
Ghair maharim se baat karne mein naram lehja ikhtiyar na karo
Chauthi sifat mu’aawanat
Hazrat-e-saubaan (raziyallahu anhu) farmate hain: hum ne Rasoolullah sallallahu alaihi wasllam se daryaft kiya
لَوْ عَلِمْنَا أَيُّ المَالِ خَيْرٌ فَنَتَّخِذَهُ؟
Agar hamein maloom ho jaye keh kaonsa maal afzal hai? to hum usko ikhtiyaar karein.
Aap sallallahu alaihi wasllam ne irshaad farmaya:
أَفْضَلُهُ لِسَانٌ ذَاكِرٌ، وَقَلْبٌ شَاكِرٌ، وَزَوْجَةٌ مُؤْمِنَةٌ تُعِينُهُ عَلَى إِيمَانِهِ۔(رواہ الترمذی عن ثوبان : ٣٠٩٤)
Behtareen maal: zikr karne wali zuban, shukr karne wala dil aur nek biwi hai jo deeni umoor mein shaohar ka ta’aaun karne wali ho
Shaohar deeni waza qata ka paband rehna chata hai, deeni kamon mein waqt-o-maal kharch karna chahta hai, rishte-daar aur mehmanon ka ikraam karna chahta hai, aulad ki deeni tarbiyat karna chahta hai, ghar ko tasveer aur TV se paak rakhna chahta hai, bachon ko shar’ee libaas pehnana chahta hai-
Deeni umoor mein biwi ka qadam aage rehna
To in tamaam baton mein shaohar ka saath de aur har deeni kaam mein shaohar ke shana bashana chale; balkeh deeni umoor mein biwi ko ek qadam aage rehna chahiye
Kisi bhi ie’tibaar se rukawat na bane: balkeh shaohar ki mu’awin-o-madadgaar bane -Insha Allah- miyan biwi donon ko ajar milega, bachon ki taleem-o-tarbiyat se muta’alliq shaohar se mashwara karti rahe
Khavind ki pareshani ke waqt us ko tasalli de uski hausla afzaai kare. Rasoolullah ﷺ ko hamari maain hazrat-e-Khadija(raziyallahu anha), hazrat-e-Umme salamah (raziyallahu anha) waghairah aap ki pareshani ke waqt khush uslubi aur aqal mandi se tasalli diya karti thien keh aap ko sukoon-o-itminaan hasil hojata tha, mushkil aasan nazar aati thi
Lihaza biwi ko chahiye kah woh shaohar ki ghamkhar, wafadar aur khidmat guzaar ho jaise hazrat-e-Khadijatul kubra (raziyallahu anha) thein aap ko Allah ka salam aaya karta tha. (Izdiwagi zindagi ke sunehre usool-Nek biwi ki sifaat-