Nikah ka hukm

Nikah ka hukm
Nikah ki zimmedariyon ko pura karne ki ahliyat aur zina mein mubtala hone aur na hone ke andeshon ke ie’tibaar se jo mukhtalif halaat paida hote hain,unke ie’tibaar se nikah ke ahkaam bhi mukhtalif hojate hain jinki tafseel darj-e-zail hai-

A Aurat ke naan-o-nafaqa aur dusre huqooq ada karne per mard qadir hai aur use yaqeen hai keh agar woh nikah na kare, to badkari mein mubtala hojaye ga, to aisi halat mein nikah karna farz hai-

B Agar aurat ke naan-o-nafaqa aur dusre huqooq ada karne per mard qadir hai aur use yaqeen to nahi zann-e-ghalib hai keh agar woh nikha na kare, to badkari mein mubtala hojayega to aisi surat mein nikah karna wajib hoga

C Nikah mu’tadil halat mein sunnat-e-muakkadah hai.

TASHREEH

Mu’tadil halat se murad yeh hai keh mard sohbath karne ki qudrat, neez mahar-o-nafaqa ada karne ki salahiyat rakta ho aur agar woh nikah na kare, to uske zina mein mubtala hone ka khatra na ho, neez nikah ki surat mein iska khatra na ho keh woh biwi per zulm-o-ziyadati karega aur na iska andesha ho keh fara’iz-o-sunen-e-mu’akkadah ke tark ka murtakib hoga-

D Us shakhs ke liye jo mahar, nan-o-nafaqa aur huqooq-e-zaujiyat ada karne ki salahiyat nahi rakhta, ya apni mizaji saakht ki wajeh se usko yaqeen ho keh woh hone wali biwi per zulm-o-ziyadati ka murtakib hoga, to nikah karna haram hai

E Agar kisi shakhs ko hone wali biwi per zulm ke irtikab ka yaqeen to nahi; magar zann-e-ghalib ho, to aisi surat mein nikah karnamakrooh-e-tehreemi hai

NOTE: Nikah ke jo shar’ee ahkaam mardon ke hain, wahi auraton ke liye bhi hain, farq yeh keh auraton ke liye mahar aur naan-o-nafaqa per qudrat ki shart nahi hai(majmu’a-e-qawaneen-e-islami:40 dafa 5,Nikah ka hukm mufti abdul lateef qasmi jamia ghaisul huda bangalore india 105