Nikah ke maqasid Allah ta’ala ne Quran-e-kareem mein ka’ee maqamaat per nikah ke mukhtalif maqasid bayan farmaye hain:
1- Iffat-o-pakdamani ka husool
Islam mein nikah ka sab se aham maqsad iffat-o-pakdamani ka husool hai, islam mard-o-aurat ko mukallaf banata hai keh woh apne ta’alluq ko shar’ee zaabitah ka paband banayein jo insan ko fahash-o-badkari aur mu’asharah ko fasaad-o-behayai se mahfooz rakhne wala ho; kyunkeh aurat aur mard ka aazadana ikhtilaat insani akhlaq hi nahi;balkeh tehzeeb-e-insani ke liye bhi baa’is-e-fasaad aur samme qatil hai.
2-mawaddat-o-rahmat
Insan fitri taur per tanhayi ke bajaa’e ijtimaaiyat pasand hai aur tanhayi se bachne ke liye mukhtalif raaste ikhtiyaar karta hai, isliye ke ziyada dinon tak tanhayi ki zindagi guzaar ne ka nateeja mukhtalif nafsiyati aur zehni bimariyon ki shakal mein samne aata hai-
Allah ta’ala insani kamzoriyon se bakhoobi waqif hai
Insani fitraton ka khaliq Allah ta’ala hai woh insani kamzoriyon se bakhoobi waqif hai, isliye usne is baat ki ijazat di hai ke insan apni zindagi ko pur sukoon banane ke liye kisi acche saathi ka intikhab kare jo uske nasheb-o-faraaz,khushi-o-gham aur sehet-o-bemari mein uska saath de aur aisa saathi wahi hosakta hai jiske saath jeene aur marne ka mu’ahadah ho aur yahi nikah ki asal rooh hai.
Allah ta’ala ka irshad hai:
ومن آیاتہ ان خلق لکم من انفسکم ازواجا لتسکنوا الیھا ،وجعل بینکم مودة ورحمة الروم : 21)
Allah ta’ala ki qudrat ki nashaniyon mein se ek nashani yeh hai keh us ne tumhare liye tum hi mein se jode paida kiye taake tum un se sukoon hasil kar sako aur usne tumhare darmiyan aapasi mahabbat aur hamdardi paida ki.
Wahi allah hai jisne tum ko ek jaan se paida kiya aur us ke liye usi se uska joda banaya taake woh us se sukoon hasil kar sake.
Woh tumhare liye libaas hain aur tum unke liye libaas ho
Zaojain ki bahami ta’aluqaat ki noui’yat ko quran-e-kareem ne nihayat baleegh aur khoobsoorat tabeer mein bayan kiya hai:
ھن لباس لکم ،وانتم لباس لھن“ ۔البقرة: 187
Woh tumhare liye libaas hain aur tum unke liye libaas ho.
Is aayat mein zaojain ko ek dusre ka libaas farmaya gaya hai, libaas us cheez ko kehte hain jo insan ke jism se muttasil rehta hai aur insani jism ke raaz aur uyoob ki pardaposhi karta hai, insani jism ko bahar ki aaludgi aur muzir asaraat se bachata hai aur insani jism ke liye zeenat ka baa’is hai, goya yahi kirdar zaojain ka ek dosre ke saath hona chaheye, keh ek dusre ke liye zaroorat, hifazath, aur zeenat ka sabab banein.
Nasl-e-insani ki baqa
Nikah ka maqsad sirf nafsani khahishaat ki takmeel nahi hai; balkeh Nasl-e-insani ki baqa-o-hifazat hai:
Allah ta’ala ka irshad hai:
وابتغواماکتب ا للہ لکم ۔البقرة : 187
Humbistari-o-sohbat ke zariye us cheez ko talaash karo jisko allah ne tumhare liye muqaddar farmaya hai.