Nikah mein takheer ke Asbaab

Nikah mein takheer ke Asbaab
1.Jahez ki tayyari
Jahez un taha’if aur zarooriyaat-e-zindagi ke samaan ka naam hai jis ko walidain apni ladki ki rukhsati ke waqt ladki ke liye diya karte hain, apni wus’at ke muwafiq zaroori samaan, numa’ish-o-mutalabah ke baghair dena shar’an jaa’iz hai.

Agar walidain bakhushi apni ladki ko shadi ke mauqe par kuch zaroori samaan dein, yeh mamnoo nahi hai, Nabi-e-kareem ka Hazrat Fatimah ko aqd-e-nikah ke waqt do chakkiyan, pani ke liye do mashkize aur chamde ka gadda jis mein khajoor ki chaal bhari huwi thi dena (musnade ahmad:819)

isi qabeel se tha, bazahir aisa maloom hota hai keh deegar saheb zadiyon ke liye bhi Aapö ne kuch na kuch dene ka intizam farmaya tha, chunancheh badr ke mauqa par Hazrat Zainab ke shaohar giraftar huwe, jo us waqt islam nahi laye the, Hazrat Zainab ne unki riha’i ke liye woh haar bheja jo nikah ke mauqa par Hazrat Khadeejah(raziyallahu anha) ne unko ata kiya tha(abu dawood: 1/367)

Is hadees se nikah mein walidain ki taraf se beti ke liye samaan dene ki taa’eed saabit hoti hai.(kitaabun nawazil: 8/435.)

Hazrat Thanvi farmate hain

Jahez jo dar haqeeqat apni aulad ke saath silah rahmi hai, fi nafsihi amr-e-mubaah; balkeh mustahsan hai, agar khuda kisi ko de, to beti ko khoob jahez dena bura nahi; magar tareqeh se hona chahiye jo ladki ke kuch kaam bhi aaye.
Jahez mein is amr ka lihaaz rakhna chahiye:

A. Awwal ikhtisaar yani gunja’ish se ziyada koshish na kare.
B. Duwam zaroorat ka lihaz kare yani jin cheezon ki sar-e-dast zaroorat waqe ho, woh dena chahiye.

C. Elaan na ho; kyunkeh ye to apni aulad ke saath silah rahmi hai dusron ko dikhlane ki kya zaroorat hai?
Huzoor ke fail se teeno amr sabit hain.(islaami shadi :119)-Nikah mein takheer Abdul lateef qasmi