Nisbati biradaraan ke saath husne sulook: Um-mul mu’mineen Umme Habiba(raziyallahu anha) ke bhai hazrat Ameer-e-Mu’aaviyah(raziyallahu anhu) hain aap ko Rasoolullah sallallahu alaihi wasllam ne katibeene wahi ki jama’at mein shamil farmaya
Ek martaba huzoor sallallahu ﷺ hazrat Mu’aaviyah ko sawaari per bitha kar kaheen tashreef leja rahe the, Aap allallahu alaihi wasllam ne poocha Mu’aaviyah! Mujse tumhare jism ka kaunsa hissa laga hua hai?
Hazrat Mu’aaviyah ne arz kiya mera pet, Aap allallahu alaihi wasllam ne irshad farmaya: aye Allah mu’aaviyah ke pet ko ilm se bhar de Siyaro Aalaamin nubala 3/262
Ek martaba Aap ﷺ ne hazrat Abu’bakr wa Umar (raziyallahu anhuma) se mashwarah kiya,phir farmaya:Mu’aaviyah ko bulao aur farmaya Mu’aaviyah ko apne mashware mein shaamil rakho ke woh qawee aur amanat daar hain.(amanat daari ke saath sahi raay dene ki salahiyat rakhte hain Siyaro Aalaamin nubala 3/262
Aap sallallahu alaihi wasllam chand sahaba ke saath kahen tashreef leja rahe the, kisi ne kaha hum mulke sham per kaise qabza hasil kar sakte hain?
Isliye keh woh rumi qaum hain, Aap sallallahu alaihi wasllam ke haat mein ek chadi thi aap sallallahu alaihi wasllam ne usko hazrat Mu’aaviyah ke kandhe par rakha aur farmaya Allah ta’ala Mu’aaviyah ke zariye tumhari kifayat farmayenge.(Siyaro Aalaamin nubala 3/263)
Aap sallallahu alaihi wasllam ne hazrat Mu’aaviyah ke liye bataore khaas dua farmayi hai
اللَّهُمَّ اجْعَلْهُ هَادِيًا مَهْدِيًّا وَاهْدِ بِهِ۔(ترمذی:٣٤٨٢)
Aye Allah Mu’aaviyah ko deeni rehbar bana,hidayat yafta bana aur logon ke liye unko hidayat ka zariya bana.
Faa’eda: Rasoolulah sallallahu alaihi wasllam ke apne Nisbati biradaraan ke saath nihayat shafaqat-o-inayat ka mu’aamala karne mein jahan aap ke husne akhlaq aur hazrat Mu’aaviyah(raziyallahu anhu) ki saalihiyyat wa salahiyat ka dakhal hai, wahen ek pehlu Nisbati biradaraan ke saath husne sulook ki umdah taleem bhi hai۔Nisbati biradaraan ke saath husne sulook
Nisbati behnon ke saath bartau
Hazrat Ayesha(raziyallahu anha) farmati hain
Ummul mu’mineen hazrat Khadija(raziyallahu anha) ki behen hazrat Hala bint-e-quwailid(raziyallahu anha) Rasoolullah ﷺ ki khidmat mein haazir huween aur andar aane ki ijazat talab ki۔
Jab aap ne Hala binte quwailid ki aawaaz suni to aap ka chera (Hazrate Khadija (raziyallahu anha) ki yaad aur unki behen ki mulaqaat se) jazbaati hogaya bukhari : 1/538-
Hazrate Khadija(raziyallahu anha) huzoor sallallahu alaihi wasllam ki sab se pehli ahliya hain aur aap ki zindagi hi mein unki wafat hogayi –
Maloom hua keh hazrate Khadija(raziyallahu anha) ki wafat ke bad bhi nisbati behnon ke saath husne sulook ka mu’aamala barqarar rakha hai-
Ummahatul mu’mineen mein hazrate Zainab binte jahash (raziyallahu anha) bhi hain,is munasabat se Aap ﷺ ke ghar aap ki nisbati behnein Umme Habeeba binte jahash(raziyallahu anha) aur Hamna binte jahash(raziyallahu anha) ba-kasrat aati thein aur masa’il bhi maloom karti thein-
Chunaanche istihaza ki riwayaat kutube hadees mein aap ki nisbati behnon hi se marwi hain-
Khusar abba ke saath husne sulook
Aap sallallahu alaihi wasllam ke khusron mein hazrat Abubakr, hazrat Umar, Hazrat Abu Sufyaan aur Hazrat Haris bin ziraar(raziyallahu anhum) sahaba mein se hain.
Hazrate Abubakar (raziyallahu anhu) rafeeqe ghaar-o-rafeeqe kausar hain aur hazrat Umar Farooq wa tarjumane nabi hain,aap sallallahu alaihi wasllam aur hazraat-e-Shaikhain Abubakar wa Umar(raziyallahu anhuma) ke baahami ta’aluqaat nihayat misaali; balkeh bemisaal hain-
Hazrat Amr bin aas (raziyallahu anhu) ne huzoor sallallahu alaihi wasllam se arz kiya ya rasoolallah sallallahu alaihi wasllam aap ke nazdeek mardon mein sabse ziyada mahboob kaun hain? Aap ne farmaya:hazrat Abubakar aur unke baad hazrat Umar hain (raziyallahu anhuma Mishkaat:6025
Hazrate Abu Sufyaan(raziyallahu anhu) fathe makkah tak musalmanon ke khilaf hone wali har jung mein pesh pesh rahe hain, fathe makkah ke mauqe par sahme hue the; laikin aap sallallahu alaihi wasllam ne unke saath nihayat ikraam-o-e’zaaz ka mu’amala farmaya-
Hazrat Haris bin ziraar (raziyallahu anhu) ke saath isi tarha ka waqi’ah pesh aya jiski tafseel aage aarahi hai۔
Sauteli aulad ki kafalat-o-tarbiyat
Aap sallallahu alaihi wasllam ne Ummul mu’mine hazrat Umme salma(raziyallahu anha) se nikah farmaya ,hazrat Umme salma(raziyallahu anha) ke saath chote chote bacche (amr bin abi salma,zainab) the-
Aap ne in bachchon ki parwarish farmayi aur unki tarbiyat farmayi,yeh bhi susrali rishtadaar hain,chunanche ahaadees mein un bachchon se Rasoolullah sallallahu alaihi wasllam ke tarbiyati waqi’aat ba-kasrat maujood hain-
Hazrat Anas (raziyallahu anhu) ki walida se hazrat Abu talha(raziyallahu anhu) ne nikah farmaya, hazrat Abu talha (raziyallahu anhu) ne apne sautele ladke ki tarbiyat ka intizaam kiya
Hazrat Anas(raziyallahu anhu) farmate hain
فَأَخَذَ أَبُو طَلْحَةَ بِيَدِي، فَانْطَلَقَ بِي إِلَى رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، فَقَالَ: يَا رَسُولَ اللَّهِ، إِنَّ أَنَسًا غُلاَمٌ كَيِّسٌ فَلْيَخْدُمْكَ، قَالَ: «فَخَدَمْتُهُ فِي السَّفَرِ وَالحَضَرِ۔(البخاری:٢٧٦٨)
Hazrat Abu talha (raziyallahu anhu) ne mera haat pakad ker rasoolullah sallallahu alaihi wasllam ki khidmat mein le gaye aur arz kiya۔
Ya Rasoolallah ! Anas chalaak ladka hai, woh aapki khidmat karega, hazrat Anas(raziyallahu anhu) farmate hain: main ne Rasoolullah sallallahu alaihi wasllam ki safar-o-hazar mein khidmat ki
Aam sasurali rishtedaaron ke saath husne sulook
Aap sallallahu alaihi wasllam ko ittila mili ke qabela banul mustaliq ke sardar Haris bin ziraar musalmanon per hamla karne ki tayyari kar raha hai-
Aap sallallahu alaihi wasllam musalmanon ki ek jamaat ke saath tashreef legaye aur achanak hamla kiya,musalmanon ko kamiyabi mili ,khoob maale ghaneemat haat aaya aur ka’ee log giraftaar hokar musalmanon mein ghulam baandiyan bana kar taqseem kiye gaye-
In ghulam bandiyon mein qabele ke sardar haris bin ziraar ki ladki hazrat Juvairia(raziyallahu anha) bhi bandi ban kar hazrat Sabit bin qais(raziyallahu anhu) ke hisse mein aayin-
Hazrat Juvairia ne hazrat Saabit bin qais se kitabat ka mu’amala karliya aur Huzoor sallallahu alaihi wasllam ki khidmat mein madad ke liye haazir huwein aur madad ki darkhast ki-
Aap sallallahu alaihi wasllam ne farmaya: kya tum is baat se razi ho keh tumhari taraf se badle kitabat ada kar doon aur tumse nikah karloon? Hazrate Juvairia(raziyallahu anha) razi hogayeen-chunanache aap ne unhen azaad farma kar nikah farma liya,
jab logon ko khabar huyi ke Rasoolullah sallallahu alaihi wasllam ne hazrat Juvairia(raziyallahu anha) se nikah farmaliya hai-
To tamam musalman jinki milkiyat mein banul mustaliq ke afraad ghulam ya bandi bane hue the, un sab ko Rasoolullah sallallahu alaihi wasllam ke susrali rishte ka lihaaz karte hue azaad kardiya
Ummul mu’mineen hazrat Ayesha(raziyallahu anha) farmati hain
فَمَا رَأَيْنَا امْرَأَةً كَانَتْ أَعْظَمَ بَرَكَةً عَلَى قَوْمِهَا مِنْهَا۔(ابوداؤد٣٩٣١)
Maine hazrat Juvairia(raziyallahu anha) se ziyada kisi aurat ko apni qaum ke haq mein ziyadah ba barkat nahi dekha jiski wajhe se ek sau(100) gharane azaad hue hon. Abu dawood :1/548
Hazraat-e-sahaba huzoor sallallahu alaihi wasllam ke susrali rishtedaron ki itni tazeem karte the, to khaas susrali rishtedaron ki kis qadar tazeem karte honge, ummat ka yeh haal hai to nabi ki kya shaan hogi۔Nisbati biradaraan ke saath husne sulook