Susrali rishtedaaron ke saath husne sulook

Susrali rishtedaaron ke saath husne sulook :Allah ta’ala ne insan ke liye do(2) rishtedaariyan banayi hain: nasabi rishta, susrali rishta, in donon rishton ke zariye insan ko ek tarha ka khandani hisaar,quwwat aur ta’aawun haasil hota hai, yehi wajhe hai keh Allah ta’ala ne Qur’an-e-paak mein in donon rishton per ihsaan jitlaya hai. Al Furqan:54

Neez shari’at ne susrali rishte ke taqaddus-o-azmat ki wajhe se biwi ki maa aur maa ki maa upar tak aur biwi ki beti aur beti ki beti neeche tak mard ke liye aur shaohar ke walid, walid ke walid upar tak, shaohar ka beta aur bete ka beta neche tak biwi ke liye haraam qaraar diya hai.

Jis tarha nasabi rishton ka lihaz kiya jata hai, isi tarha susrali rishte ka bhi khiyal rakhna chahiye, bataure khaas biwi ke ahl-e-khana:khusar,khushdaman saheba aur nisbati biradaraan-o-nisbati behnon ke saath ikraam aur husne akhlaaq ka muzahara kare.

Susral ne apni noor-e-nazar ko dulhan banakar pesh kiya

Khushdaman aur khusar apni lakhte jigar, noor-e-nazar ko mahabbaton-o-shafaqqaton se paal pos kar bana sawaar kar dulhan ki shakal mein damaad ki khidmat mein pesh karte hain.

Damaad ka akhlaaqi fareeza hai keh woh biwi ke walidain ki hasbe istita’at khidmat, ikraam, taa’zeem aur unke saath husne sulook ka bartaou kare.

Nihayat be murawwati aur na insafi ki baat hogi keh jo walidain apni lakhte jigar ko damaad ke supard karte huwe uske saath ihsaan ka mu’amala kiya hai,unke saath tazleel , tahqeer, be-murawwati aur bad akhlaqi ka mu’amala kare.

Biwi ke walidain ke saath husne sulook dar haqeeqat biwi ke saath husne sulook hai, biwi ke walidain ke saath accha bartaou karne se biwi ke dil mein shaohar ki mahabbat aur azmat paida hogi jo izdiwaji zindagi ko khushgawar banane ke liye nihayat mufeed-o-mu’assir hoti hai.

Uske bar khilaaf biwi ke walidain aur qareebi rishtedaaron ke saath be-murawwati, taa’na zani aur bad sulooki ka muzahara karne se biwi ke dil mein shaohar se muta-alliq kudurat-o-nafrat paida hoti hai-

Choonkeh aurat ko apne walidain aur khandaan ke saath jazbati ta’alluq hota hai jiski wajhe se biwi ka dil dukhega aur woh dil se shaohar ki ita’at-o-khidmat nahi kar sake gi aur shaohar ke saath hasi khushi zindagi ghuzaar nahi sakti.

Shaohar ka khusar ke saath husne sulook

Hazrat-e-Miswar bin makhrama(raziyallahu anhu) farmate hain

Rasulullah sallallahu alaihi wasllam  ne hazrat-e-Abul aas bin rabee(raziyallahu anhu) jo aap ke damaad the unka tazkira farmate huwe khoob tareef farmayi aur irshad farma-

حدثنی ،فصدقنی ،ووعدنی، فوفی لی ۔البخاری: 3729

Maine Zainab ka nikah Abul’aas bin rabee ke saath kiya unho ne mere saath sach kaha aur jo wada kiya usko poora kiya

Hazrat Abul’aas(raziyllahu anhu)ghazwa-e-badr mein kuffaar-e-makkah ke saath shamil hokar giraftaar hue, aap sallallahu alaihi wasllam  ki ladki hazrat Zainab(raziyallahu anha) ne apne qaidi ko chudane ke liye apna haar jo unko hazrat-e-Khadijah(raziyallahu anha) ki taraf se mila tha rawana kiya.

Aap sallallahu alaihi wasllam  ne is haar ko pehchanliya aur musalmanon ko raazi karke woh haar hazrat-e-Zainab(raziyallahu anha) ko wapas kardiya, aur hazrat Abul’aas(raziyallahu anhu) se wada liya keh makkah jakar hazrat-e-Zainab(raziyallahu anha) ko madina rawana kardenge, chunaanche unho ne is wade ko poora kiya.

Yeh biwi ke walidain ke saath husne sulook ki shandaar misaal hai hazrat Abul’aas(raziyallahu anhu) ne abhi islam qubool nahi kiya hai, laikin susar se kiye gaye wade ko poora karte huwe husne sulook ka muzahara kiya hai, jisper Allah ke Nabi sallallahu alaihi wasllam  ne khoob tareef farmayi hai.

Hazrat-e-Usmaan bin Affaan

Hazrat-e-Usmaan bin Affaan (raziyallahu anhu) bhi aapke damaad the, Aap sallallahu alaihi wasllam ki do(2) saaheb zaadiyon hazrat-e-Ruqayyah (raziyallahu anha)aur hazrat-e-Umme kulsum (raziyallahu anha) se eke baad deegare nikah farmaya, isi wajhe se aap ko zunnoorain kehte hain.

Aap sallallahu alaihi wasllam ne muta’addid dafaa hazrat-e-Usmaan(raziyallahu anhu) ka zikre khair farmaya, jab hazrat-e-Umme kulsum(raziyallahu anha) ki wafat hogayi, to Aap sallallahu alaihi wasllam ne farmaya agar koi doosri beti hoti to main usko bhi hazrat-e-Usmaan ke nikah mein de deta-(Majma-uz-zawaid : 14511)

Mazkoorah baaton se hazrat-e-Usman(raziyallahu anhu) ki akhlaaq ki bulandi-o-pakeezgi, wafaadari aur ghar walon ke saath behtareen sulook ka pata chalta hai yehi wajeh hai keh aap ke akhlaaq-o-kirdar aur husn-e-sulook se muta’assir ho kar aap sallallahu alaihi wasllam ne irshad farmaya agar teesri ladki hoti usko bhi tumhare nikah mein de deta۔

Hazrat-e-Ali bin abi Talib

Hazrat-e-Ali bin abi Talib(raziyallahu anhu) aap ke chacha zaad bhai, Aap sallallahu alaihi wasllam ke tarbiyat yaafta aur aap ke damaad hain, Aap sallallahu alaihi wasllam ki sabse chaheeti sahib zaadi se aap ka nikah huwa.

Ghazwaye khaiber ke maoqa par Aap sallallahu alaihi wasllam ne irshad farmaya: kal main jhanda us shaks ke haath mein dunga jisse Allah aur uske Rasool mahabbat karte hain, dusre din Aap sallallahu alaihi wasllam ne hazrat-e-Ali(raziyallahu anhu) ko jhanda ata farmaya aur khaiber ki fatah aap ke haat par hui-

Jab Hazrat-e-Fatima(raziyallahu anha) ne ghar ke kaam kaaj ki mashaqqat ki shikayat ki, Aap sallallahu alaihi wasllam ghar tashreef le’aaye jab keh hazrate Ali-o-Fatima(raziyallahu anhuma) apne bistar per let chuke the.

Aap sallallahu alaihi wasllam ne irshad farmaya:isi haal mein raho, chunanche Aap sallallahu alaihi wasllam donon ke darmiyaan baith gaye, hazrat Ali(raziyallahu anhu) farmate hain Aap sallallahu alaihi wasllam ke qadmon ki thandak maine mehsoos ki, is tarha ke beshumaar waqi’aat kutube hadees mein maujood hain-

In waqi’aat se maloom hota hai keh Aap sallallahu alaihi wasllam ko hazrate Ali(raziyallahu anhu) se kis qadar mahabbat-o-apna’iyat thi? Aur hazrat-e-Ali(raziyallahu anhu) ki wafadaari, aap ke akhlaaq-o-aa’daat per Aap sallallahu alaihi wasllam ko kis qadar ie’timad-o-itminaan haasil tha-Susrali rishtedaaron ke saath husne sulook-