Nikah mein takheer Taleem ke liye Ladke ke liye nikah ki munasib umar 25 saal aur ladki ke liye 18 saal hai, baaz log nikah ki munasib umar mukammal hojane ke baad bhi nikah meim takheer karte hain
Taakeh maqsoos degreeyan hasil hojayein takeh acchi nowkri milegi, kuch raqam mehfooz hojaye taakeh shadi ki fuzool taqribaat ke liye kaam aaye, ya behter nowkri miljaye taakeh kisi maaldar ladki se rishta ho waghairah.
Ladki wale bhi taleem ka bahana bana kar munasib umar p oori hojane ke baad bhi nikah mein takheer karte hain, degree miljaye, to acche rishte milsakte hain, warna taleem-yaftah ladkon ke rishte nahi aate. Agar aala taleem ka maqsad husool-e-ma’ash ho
Yad rakhna chaheye keh shari’at ne kisi bhi marhale mein aurat par maali zimmedariyan nahi rakhi hain, aurat ka nafaqa baap, bhaai, shaouhar aur bete per rakha hai, aurat ko ghar se bahar nikal kar rozi hasil karne ka mukallaf nahi banaya hai,
Agar aala taleem se maqsood maldaar ladkon ki talaash hai to yeh bhi shari’at ki rehnumayi ke khilaf hai keh shari’at ne deen aur husn-e-akhlaq ko rishton ke intikhaab ke liye may’yar bataya hai-
Makhloot taleemi nizaam samme qatil
Mehez husool-e-ma’ash aur maldaron se rishte ko bunyaad bana kar aala taleem jaari rakhne ke liye makhloot taleemi nizaam, bepardagi, neem uryaniyat aur ghar se college ki taraf aamad-o-raft ladkiyon k i iffat, izzat-o-aabroo ke liye samme qatil hai.
Albattah zindagi ke baaz maqsoos shobe hain jin mein auraton ki khidmaat hi zaroori hain, istarha ki aala taleem nikah ke baad bhi jaari rakhi jasakt i hain
Nikah ke baad taleem jaari rakhna aurat ki izzat-o-aabroo k i hifazat-o-ismat ke liye ziyadah behtar aur mahfooz raasta hai.
Nikah mein takheer ke Asbaab
A,Jahez ki tayyari,BFuzool Kharchi aur CTaleem ke liye nikah mein takheer .mufti Abdul lateef qasmi Jamia Ghaisulhuda,shikari palya,bangalore