Waqt per nikah karne mein apni aur mu’ashrah ki hifazat
Mu’asharah ko fawahish-o-munkaraat se bachane aur pakeezah banane ke liye islam ki taleem yeh hai keh ek shakhs baaligh hone ke baad apne halaat ka jaa’izah le kar is baat ki koshish kare keh jald az jald risht-e-nikah se apne aapko wabasta karle.
Aap ka irshad hai
من استطاع منکم الباءة ،فلیتزوج ،فانہ اغض للبصر ،واحصن للفرج. بخاری Tum mein se jo shakhs (maali) isteta’at rakhta ho, usko nikah kar lena chaheye; kyunkeh nikah nigah ko past karne wala aur sharamgah ki hifazat karne wala hai. bukhari
Rasoolullah ne walidain per aulaad ke huqooq bayan karte huwe irshad farmaya;
من وُلِدَ لہ ولد،فلیحسن اسمہ ،وادبہ ،فاذابلغ، فلیزوجہ ،فان بلغ ،ولم یزوجہ ،فاصاب اثما فانماا ثمہ علی ابیہ ۔
Jis shakhs ki aulaad paida ho, usko chaheye keh accha naam rakhe,uski taleem-o-tarbiyat ka intizaam kare aur jab baligh hojaye to uski shadi karde, agar baligh hogaya aur uski shadi nahi ki aur woh kisi gunaah mein mubtala hogaya, to uska gunaah uske walidain par hoga.baihaqi-
Agar shari’at ki hidayat ke mutabiq waqt par nikah kardiya jaye, to mu’ashare mein phaili huwi burayi, be raah rawi aur akhlaqi qadron ki pamali khatam hosakti hai.
Hamare mu’ashare mein basa auqaat shadi ko acchi naukri aur acchi aamadni ke intizar mein mu’akkhar kardiya jata hai; halankeh islam ki hidayat yeh hai keh koi shakhs apni biwi ko khana, kapda aur riha’ish ke liye kamrah dene ki salahiyat rakhta ho, to usko nikah karlena chahiye. Insha Allah. Allah ta’ala mazeedmali wus’at bhi ata farma’enge.
Neez ladkiyon ke rishteh mein bhi ladke ki maaldari aur behtar naukri wale ladke aur khush haal gharane ke intizar mein nikah mein takheer aam baat hoga’i hai; halankeh islam deendari aur biwi ke akhrajaat ki takmeel ki qudrat par nikah karne ki targheeb deta hai.