Libaas-e-zindagi ka intikhaab

Libaas-e-zindagi ka intikhaab
Insani mu;aasahreh ki daagh bail ek mard aur ek aurat se padti hai, bacha paida hone se pehle apni maa ki kokh mein nash -o- numa pata hai, phir aagosh-e-mader mein aajane ke baad uski sab se pehli darsgah maa ki godh hoti hai, jahan se uski tarbiyat ka aaghaaz hota hai aur uske qalb-o-dimagh per pehli chaap maa ki padti hai aur usi asar ko lekar woh zindagi ke aage ki manzilien tay karta hai, aur mu’asharah ka ek fard ban jata hai,

Isliye saleh aur pak saaf mu’asharah ki tameer ke liye zaroori hai keh insan nikah ke liye maal-o-daulat ko bunyaad banane ke bajaye saalihiyyat aur deendari ko may,yar banaye-

Rasoolullah ne hame isi ki taleem di hai.

عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ، عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: تُنْكَحُ المَرْأَةُلِأَرْبَعٍ: لِمَالِهَا وَلِحَسَبِهَا وَجَمَالِهَا وَلِدِينِهَا، فَاظْفَرْ بِذَاتِ الدِّينِ، تَرِبَتْ يَدَاكَ (بخاری کتاب النکاح باب الاکفائ: ۵۰۹۰)

Auraton se chaar baton ki bina par nikah kiya jata hai,
uske maal, hasab-o-nasab, khubsoorati aur uski deendari ki wajeh se, tum deendar aurat se nikah karke kamiyabi hasil karo-

kaa’inaat ka behtareen samaan nek aurat

Neez Aap ne irshad farmaya:

عَنْ عَبْدِ اللهِ بْنِ عَمْرٍو، أَنَّ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، قَالَ: الدُّنْيَا مَتَاعٌ، وَخَيْرُ مَتَاعِ الدُّنْيَا الْمَرْأَةُ الصَّالِحَةُ-(مسلم کتاب الرضاع : ۲۶۶۸)

Dunya samaan hai aur kaa’inaat ka behtareen samaan jisse faa’idah hasil kiya jaye nek aurat hai.

In ahadees se yeh baat bakhoobi waazeh hojaati hai keh islam mein husn-o-jamal, hasab-o-nasab aur maal-o-daulat ke bajaye neki, deendaari aur husne akhlaaq maqsood hai.

Ladkon ke intikhab se muta’alliq Rasooullah ka irshad hai,

عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «إِذَا خَطَبَ إِلَيْكُمْ مَنْ تَرْضَوْنَ دِينَهُ وَخُلُقَهُ فَزَوِّجُوهُ، إِلَّا تَفْعَلُوا تَكُنْ فِتْنَةٌ فِي الأَرْضِ، وَفَسَادٌ عَرِيضٌ(رواہ الترمذی ۱۰۸۴)

Jab tumhe koi aisa shakhs nikah ka paigham de(apni ladki,behen wagairah se muta’alliq) jiski deendari aur akhlaq tumhare liye qabil-e-itminaan hon, to nikah kardo, warnah zameen mein fitnah-o-fasaad phailega. Libaas-e-zindagi ka intikhaab-

Miyan biwi ek doosre ke hamah waqti rafeeq hain

Miyan biwi ek doosre ke hamah waqti rafeeq hain, khushi ho ya gham, masarrat ke shadyane bajein, ya ranj-o-alam ke taaziyane barsein,hameshah ek doosre ke saath hote hain, isi liye quran-e-majeed ne miyan biwi ko ek doosre ke liye libaas qaraar diya hai.

هُنَّ لِبَاسٌ لَكُمْ وَأَنْتُمْ لِبَاسٌ لَهُنَّ۔(البقرۃ:۱۸۷)

Yeh ek aisi achooti aur albeli khubsoorat aur mana khez taabeer hai keh izdiwaji zindagi ke ta’alluq ko isse behtar taabeer mein bayan nahi kiya jasak

Deendar aur shareef miyan biwi ki misaal mauzoon aur mausam ke nasheb-o-faraaz mein kaam aane wale libaas ki si hai, kyunkeh tamaam nekiyon ka sar chashma Allah ta’ala ka khauf aur tamaam buraaiyon ki asaas khuda se be khaufi hai,

jis shaks ke dil mein deen raasikh na ho aur jiska seena khuda ke khauf se labrez na ho, uska mua’amalah apne jaise insanon ke saath bhi behtar nahi hosakta, isiliye ek deendar shaohar aur deendar biwi ek dusre ke saath jis tarha husn-e-sulook ka mua’amala kar sakte hain be deen shakhs se iski ummeed nahi ki jasakti

Isi wajeh se Rasool-ul-lah ne deen ki bunyad par rishte ke intikhab ko zufar mandi aur kamiyabi ka zamin qaraar diya hai, kamiyabi ka ta’alluq dunya se bhi hai aur aakhirat se bhi,

Pas dunya mein bhi kamiyab izdiwaji ka madaar deendar aur ba akhlaaq rafeeq-e-hayat ke intikhab par hai, miyan biwi ki saalihiyyat aulad par asar andaaz hoti hai aur unke khandaan mein bhi ilm aur deendaari ka silsilah jaari rehta hai.Libaas-e-zindagi

Ghar mein deendar baho aayegi, to

Seerat-o-tareekh ki kitabon mein Hazrat Umar bin Khattab(raziyallahuanhu) ka intikhaabe baho aur Sayeed bin-Musayyab(rahmatullahi alaih) ka damaad wale waqi’aat bittafseel mazkoor hain agar ghar mein deendar baho aayegi, islami akhlaaq ka hamil damaad aayega, to ghar mein deen ka chalan paida hoga , mahabbaton ki fiza qaa’im hogi, namaz roze ka mahol banega, ganon ki aawaz ke bajaye tilawat-e-quran ki aawaz goonjegi-inshaallah- poora ghar jannat nashaan banjayega,

Warnah mumkin hai keh zahiri asbaab-e-aara’ish ghar mein aajayein laikin deen rukhsat hojaye, zindagi eesaar-o-mahabbat ke bajaye bahami kadorat aur khud gharzi par mabni hojaye aur bodhe maa baap ek bojh banjayein, iski misalein aaj mu’asharah aur samaaj mein talaash kiye baghair milti hain.sham-e-farozaan:205 Libaas-e-zindagi