Nikah ki fazeelat Kaha jata hai ke insan ”ek samaaji haiwaan” hai yani woh apni bahut si zarooriyaat ke liye samaaj ka muhtaaj hai, insan ko is baat ki zaroorat hoti hai keh woh khandaan ke zere saya zindagi guzare.
Khandan ki bunyad nikah hai, nikah hi se ek joda banta hai, phir joda ek choota sa khandaan banta hai, phir woh ek qabeela banjata hai-
Nikah hi se dadhyali, nanehali aur susrali rishte ujood mein aate hain aur insan ko khandan ka ek mazboot hisar hasil hota hai, jo dukh sukh mein uske kaam aata hai jo bhalai par qay’im rehne aur burayi se rokne mein uski madad karta hai-
Aur uske tahaffuz mein mu’aawin hota hai, neez nikah hi se nasl-e-insani ki afza’ish aur uski baqa bhi muta’alliq hai.
Isi liye islam mein nikah ko badi ahmiyat hasil hai, Rasulullah ﷺ ne nikah ko apni aur apne se pehle ambiya ki sunnat qaraar diya hai aur tajarrud ki zindagi ko na pasand farmaya hai۔
isliye ke nikah se insan ko zehni aur qalbi sukoon, iffat wa pakdamani, baa’hami ulfat aur muwanasat hasil hoti hai, neez be rah rawi aur ma’aasi se hifaazat rehti hai
Nikah ki Tareef
Nikah kitab-ul-lah aur sunnat-e-Rasulullah mein diye gaye hukm ki taameel hai, neez baqaa’e nasal-e-insani aur husool-e-iffat wa ismat ka zariya hai, jis ki wajeh se insan haram ke irtikab se mehfooz rehta hai, isliye nikah mu’ahadah bhi hai aur ibadat bhi
Mard wa aurat ke darmiyaan Nikah shar’ee usoolon par kiya gaya mu’ahadah hai jiske natijeh mein ek dusre ke saath jinsi ta’alluq jaa’iz aur paida hone wali aulad ka nasab shar’an sabit hojata hai aur baham huqooq wa fara’iz aa’id hojate hain(majmoo’ah qawaneen-e-islami:38Nikah ki fazeelat-
محترم قارئین کرام یہ مضمون اردوزبان میں بھی لکھا گیاہے ،جوحضرات اردو اچھے طریقے سے پڑھنا جانتے ہیں وہ اس لنک پر کلک کریں اورمضومن پڑھین